Is qadar pyar se ae jaan e Jahan
Dil k rukhsar pe rakha hai, iss waqt teri yad ne hath
Teri yaad… ne hath… us ne bohat malaimat se hath apne gall pe rakha..aur ik dheemi si muskurat ne us k laboon ka ahata ker lia…
Yun gumaan hota hai garche hai abhi subhe firaq,
dhal bhi gaya hijr ka din Aa b gai vasl ki raat..
Lambe silky balloon se khailte huwe who iss dunia se bohat durr thi. Who khuwab k safar men thi.
Jahan who sikandar ka hath pakre kharri thi, Jahan sari dunia us k qadmoon men thi aur Jahan un dono k darmiyan men koi fasla nhi tha.
Islamabad men apne kamre ki khirki se who oonche baraf posh paharoon ko dekhti rehti aur sochti k kia maloom sikandar ka thikana kon c chooti per ho ga. Najane siachin in sab men se konsa pahar hai…
Who mohabbat se un paharoon ko dekhti, k shyd us ki nazar ki hidaat us shaks tak pohanch jaye jis k dam se uska Jahan abad hai.
‘Sikandar ko bohat sardi lagti hai,’ who aksar sochti ‘ pata nhi kaise itni baraf men rehta ho ga’
Yehi baatien jab us ne iss dafa sikandar ki chutti men usey coffee bana k dete huwe kahien to who hans para.
‘hum wahan bohat garam kapre pehente hain na aur igloo men rehte hain.. sardi ka to pata b nhi chalta’
Sikandar k dilase se thora to dil ko itmenan huwa per yakdam hi us ne mashkook nighahon se sikandar ko dekha, per sikandar kuch na bola.
Who coffee le k terrace per challi ai. Raat, chandni, tarron bhara asman aur sikandar.. bus yehi chae tha usey apni zindagi mien.
‘SIKANDAARRRRRRRRRRRRRRRRRRRRRRR…. Plzzz upper aoo’
Us k yun badtameexi se chilane pe sikandar hameesha ki tarhan chirr gaya tha, magar phir bhi upper aa gaya.
Terarce pe sath sath khare hone k bawajod sikandar usey ignore kr raha tha. Yeh us k ghuse ka izhar tha.
‘sikandar’ us ne holey se pukara. Koi jawab nhi..
Us ne halki c kohni mari.. no lift
‘mujhe attitude dikha ra hai’ woh ik dam se us k samne aa k kahri ho gai. mug railing pe aur dono hath qamar per rakh k boli ‘ oye sukki, mujhe attitude dikha rahe ho?’
‘nhi’ mukhtasir jawab
‘phir bol q nhi rahe’
‘tum ne q itna shor kia? Sab ko awaz gai ho g.. log kia sochien gey k captain sikandar ki bivi mien aur masjid k loud speaker men koi farq hi nhi ha’ who khafa khafa sa bola.
Qasoor dono ka nhi tha.. sikandar bohat polite aur soft spoken tha aur who.. who tez, buland awaz, buland khayal, shokh, rangeen, mast..
‘farq hai na sikandar’who masoomiat se boli
‘kia?’ be ikhtiyar hi sikandar ne poocha.
‘loud speaker tumse itna pyar nhi kerta ‘ who shararat se hansi aur sikandar k chehre per b muskurahat aa gai..
‘sikandar’ yak dam hi us ka lehja khuwab sa ho gaya..
‘hmm..’ sikandar ne apne bazoo us k kandhe pe rakh k use qareeb ker lia.
‘tumara dimple itna pyara hai, mera dil chata hai k men us men chup k baith jaun.. aur bus kabhi na nikloon bahir’
‘:D :D :D mere bulane pe b nhi?’
‘ nah.. haan tum bulao gey to jawab doon g.. baqi koi bulaye ga to pretend karoon g jaise men hun hi nhi ‘ woh naak charha k boli yun jaise sikandar per koi ehsan hoga .
Yunhi layani baton k darmian raat qatra qatra bheegti rahi..
Who dono jante they k maheenoon ki judai k baad yeh waqt aya hai aur ab najane dobara kitna waqt lagey ga un ko yun baith k baten kerne k liye..
Who agli subha wapis siachin ja raha tha..
‘aj poore 5 din ho gaye hain ussey gaye huwe’ ungliun pe hisab lagate huwe us ne socha. Halanke aj subha hi sikandar se baat hoi thi. Mukhtasir aur bharpoor…
Us ka din bilkul mamool k mutabiq tha. likin dil men ajeeb si bechaini thi.
Barf se dhakee paharoon ko dekhte huwe, ussey pehli baar khauf sa aney laga.. un paharoon ki oonchai se, jalal se, shaan se, karakhtagi se..
‘sikandar mene K2 jana hai.. mene suna hai wahan suraj ki pehli kiran k sath parian utarti hain.. sunehri pariyan,,’
Apne balloon ko kangi kerte huwe us ne sheeshe men sikandar ko dekha jo bohat inhimak se TV pe najane kia dekh ra tha . us ki baat per TV se nazrien hataien aur us ko dekh k bola
'aaisa kch nhi hota.. beekar batien hain.. its a dead world’
‘KIA?’ who yun shocked hoi jaise sikandar ne abhi abhi yeh keh dia ho k who asli sikandar nhi hai. Phr ik dam hi narazgi se sikandar ki janib dekha aur kaha ‘ huh,tumien kia pata.. faujiun ko nhi nazzar ateen’
‘hmmm shyd.. mene b suna hai k pariun ko hi parian nazar ati hain’
us waqt woh sikandar se itni naraz thi k us k jumle per ghaur hi nhi kia..
aur abhi abhi us laga, jaise in buland paharoon per waqaii kabhi pariaan nhi utarti hoon g balke yaqeenan un kale paharoon men jinnat ka baseera ho ga..
Us ka dil achanak seham gaya.. dharkanoon ki taal kissi anhoni ka pata dey rahi ho jaise…
Who Be maqsad ghar men ik se dosre kamre ka chakkar laga rahi thi…ik dam sare kam khatam ho gaye. Yun jaise us ab baki sari xindagi us k kerne ka koi kam na ho ga…
Jaise sab kuch ker chuki thi who.. aur mazeed kuch nhi bacha tha..
Iron stand k pass sikandar ki light blue shirt rakhi thi.. who shirt istari krne lagi… pata nhi yeh shirt yahan kiun rakhi thi unpressed. Sikandar hameesha se apne kapre khud press kerta tha. who kerna chati phir bhi nhi kerne deta tha.
Khoob jama jama k aur dil laga k who apne kapre press kerta tha. ik shikan b na ho .. aur who itni tawaju se ussey kapre press kerta dekhti to jal k reh jata…
‘sikandar jaldi karo na’ … ‘jaldi na’.. ‘bus na ho gai hai’.. ‘sikannnnndddddddddddaaaarrrr’
Ik ik minute k waqfey se who sikandar k daaen baaen aa key narrey lagati… aur sikandar jhunjhula jata
‘kitni besabri ho tum.. itna sa sabar b nhi hai tum mien’
Phr who shararat se us k hair style ko bigaar deti aur hans k kehti ‘itni attention ik shirt ko mile g to men jealous hoon g na’
5 din , sikandar k jane k baad se us ne ik dafa b apni diary nhi likhi thi.. sikandar ko hameesha tajasus rehta tha k who kia likhti hai likin who bohat hifazat se apni diary lock men rakhti thi aur chabbi apne room mien rakhe money plant k gamle k neeche… sikandar se chuppa k…
Diary ka khayal atey hi us ne istari band ki , pressed shirt hang ker k kamre ki taraf qadam barhaye.. adhe raste men pohanchi k phone ki ghanti bajhne lagi. Us ne phone uthaya .. abu ka phone tha lahore se..
‘abu… assalam o alikum kaise hain ap.. men akeli thi.. shukar ha ap ne phone ker lia’ who chehki
‘wasalam , m fine beta. Ap kaisi hain..? beta apki sikandar se baat hoi?’
‘men theek thak.. ji abu meri subbha hi baat hoi hai.. theek they keh rahe they k next post per ja k phone karien gey’
‘achaa.. beta mien Islamabad aa raha hun.. pehli flight se’
‘kiun abu? Khairiyat to hai na?’
‘’jii beta.. men aa k apse baat karoonga’
‘Chalien theek hai.. acha hai aa jien.. men akeli hun..phir men Lahore hi chaloon g ap k sath ‘
‘sure .. apna khayal rakhna, ALLAH hafiz’
‘Khuda hafiz’
Us ne gharrii dekhi to raat 9 bajjh rahe they. Abi who andar janey k liye palti hi thi k phone ki bell ik dafa phir baji.
‘ Hello, mrs sikandar?’
‘yes’
‘bhabi men Tariq baat ker rha hun’ tariq sikandar ka college k zamane se best friend tha.
‘je je tariq bhai kaise hain ap?’
‘ I am fine. Bhabi I am afraid there is a bad news,’
‘kahiriyat bhai?’
‘bhai sikandar ki party .. bhabi actually, the team met an accident. An avalanche’
‘ji?’ us ko tariq ki awaz aa rahi thi, samajh b aa rahi thi per kuch aaisa tha k us ka zehen bilkul blank tha.
‘bhabi I am so sorry, likin abhi rescue operation jarri hai. INSHA ALLAH achi khabar miley g. bhabi please ap hosla karien’
Use tariq ki awaz ab b aa rahi thi magar ab usey kuch samajh nhi aa rahi thi. Yun jaise who koi aur zaban bol ra ho. Us ne receiver cradle per rakh dia..
Ussey samajh hi nhi aa rahi thi k ab uusey kia kerna chae. Har ehsas mar gaya tha. use laga who koi khuwab dekh rahi hai aur abhi us ki ankh khul jaye g…
Aaisa nhi ho sakta. Ofcourse yeh sab mazaq hai. Sikandar ka koi practical joke. Ussey pata hai k men apne rishtoon k bare men kitni touchy hoon..
Abhi phone aye ga, men keh doon g k aaise mazaq mujhe bilkul nhi pasand.
Woh uth k kamre men aa gai. Gamle k neeche se chabbi nikal k us ne tala khola aur apni diary nikali. Usey ab sikandar per ghussey anay laga tha. yeh koi tareeqa hai. Tariq bhai ko involve kerne ki kia xaroorat thi. Bahir phone ki bell ho rahi thi. Per us ne koi dhehan na dia. Sikandar ka ho ga, acha hai use b pata challey…
Us ne apni diary kholi…
Ik tissue paper rakha tha.. per ussey yaad nhi aa ra tha k us ne kab yeh yahan rakha tha…
Tissue ik kaghaz k upper lipta tha.
Us ne be yaqeeni se dono cheezun ko dekha.
Kaghaz kholte hi us ne sikandar ki khobsurat hand writing dekkhhi
‘yeh tissue tumare liye hai. Iss se apne ansoo saaf ker lena :D
Kitna rooti ho na tum.. rotlu.. tumare ansoon se to dam bhar jaye.. chalo kam az kam pani ka masla to hal ho ga na..
Dekho dekho ab ghusse se red ho gai ho… kitne rang hain na tumare pass..
Suno, jab men wapis aun ga na to yeh sare rang le loon ga tumse.. aur apne hathoon per sajaoon ga… tumari ankhoon ka sunehri rang, palkoon ka kala, gallon ka gulabi aur hoonthun ka sharbati… sab k sab…
Roya mat karo, mujhe acha nhi lagta..
Mujahid ki bivi ho.. apne andar hosla aur sabar paida karo.
Zindagi men agar men na raha to koi itne nakhre nhi uthaye ga :P
Apna khayal rakhna
I’ll miss you
Urs sikandar
Who beyaqeeni se us khat ko dekh rahi thi… sikandar janta tha, who diary ki chabbi kahan rakhti hai.. pata nhi us ne kabhi who kholi b ho g.. Jahan jaga jaga us ka naam likha tha… ‘sikandar’
Ansoo mootiun ki soorat us ki ankhoon se gir rahe they.. ussey betarhan sikandar yaad aaney laga ..kahan ho ga who..
Barf ki qabar men,…
Yakdam zorr se hawaien chalne laggi aur mote mote barish k qatre zameen ko seerab kerne lagi.. useey laga asmaan b us k gham men roo raha hai.. us ki bebasi pe, akelepan pe.. sikandar aur us k khuwaboon pe, us ki beinteha mohabbat per aur un sare gulaboon per jo sikandar us k liye lata tha..aur lata rehta agar zinda rehta to…
iss baat per k ab chahe jitni b barish ho jaye, us ka mann sehraab nhi ho ga kabhi..
Rootey rootey us ne sar utha k apni shadi ki tasweer ko dekha… ghere surkh lehenge men who sharmai sharmai si sikandar k pehlo men khari bilkul kanch ki guria lag rahi thi aur sikandar.. off white sherwani mien us k personality mazeed bawaqar lag rahi thi. Halki si muskurahat k bawajood us ka dimple wazeh ho raha tha..
Tasweer ka manzar xinda ho k us k samne aa gaya.. jab who parlor se studio pohanchi photoshoot k liye to garri ka darwaza sikandar ne khola.
Sikandar pe nazar perte hi kaise us ka dil dhak se reh gaya tha aur hatheelian bheeg gai theen… us ki confusion per sikandar khul k hansa tha. aur maxeed confuse hote huwe us ne sikandar ko kitne alqabaat se nawaza tha..
Aur phir poore photoshoot k doran who confused hi rahi.aur sikandar ne us ki confusion ko jitna enjoy kia tha , us ka para utna high ho raha tha. upper se photographer ki athkhailian dekh k maxxed us ka ghusse se bura haal ho ra tha.
‘ap madam please sir k shoulder per hath rakhien aur side per dekhien aur sir ap please zara aaise pose karien jaise ap madam se kuch keh rahe hain’ photographer ki chehekti hoi awaz pe us ne saari sharam ko bhool k ghuse se upper dekha.
‘What? Men aaisa koi pose nhi bana rahi. Ap please zara decent photshoot karien’ us ne khafgi se sikandar ki taraf dekh k kaha.
‘madam please, yeh pictures yadgaar hon g. sir ap please madam ko manien’ photographer kuch xiada hi professional tha shyd.
‘aa jien maa’am.. let me be honoured please’ sikandar ne araam se ussey kaha. Chair se apna lehenga sambhalti who uthi to sikandar ne araam se us ka hath tham lia. Photographer ki manhos shakal zeher lag rahi thi.
Sikandar thora sa us k chehre ki janib jhuka tha..
“mien kirnoon ki kaliyan chun ker saij bana loon ga
Tum mukhre ka chand jalao, raat roshan karo”
Bijli iss qadar zor se karkii k ik lamhe ko har cheez roshni men naha gai likkin chand lamhoon baad jiss zor se badal garjey, us ki adhi rroh fana kerne ko kaffi they…
Hameesha se uss badaloon ki garaj se dar lagta tha. bachpan se le k shadi se pehle tak who hameesha barsaat men ami ki god men chup jati thi. Aur jab university men aii to barish shuru hote hi abu ussey leene aa jate they..
‘mujhe pata hota hai k meri beti darr rahi ho g… men us k pass hona chata hun us lamhe se pehle jab who khud ko akela samjhe’
‘Baba please jaldi aien…’ who tarap tarap k roo rahi thi.. andhere men us ka dam ghutt raha tha. ‘ajj meri xindagi ki sab se bhiyanak raat hai aur men kitni akeli hun.. ’
Apne kamre mien ussi halat men baithey najane kitna waqt guxra tha.. ghantii ki taiz awaz pe us ne darr k sar uthaya… ab musalsal doorbell baj rahi rhi … ‘Abu’ ik siski us k laboon se azzad hoi.. bhagte huwe who gate ki taraf gai, slippers k baghair nangey paoon.. barish ab b zoroon pe thi, gate tak pohanchte pohanchte wh mukamal bheeg chuki thi. Bina pooche us ne gate khol dia.
Abu ko dekhte hi us ka raha saha hosla b toot gaya. Abu k galley lag k who betahasha roo rahi rhi..
Abu us ko tham k pyar se andar laye.. musalsal us k baal sehlate huwe abu us ko dunia Jahan ki tasallian de rahe they..
‘na roo mera beta.. sab theek ho ga’
Per who janti thi… us k dil ne us ko bata dia tha k koi rescue operation sikandar ko us k pass nhi la sakta.. sikandar has moved on..
Aur phr agle kai din tak roz who rescue operation ki khabrien sunti rahi. Sikandar k waledain Saudi Arabia se aa gaye they. Ussey khoob dhair sara pyar kia. Who un k bête ki dhulhan thi. 7 mah ki dhulhan.
Packing kerte huwe who har ik minute k baad roti rahi.. har cheex se itni yaadien wabasta then k ansoo na bahana namumkin tha. sab se akhir men us ne sikandar ka personal drawer khola. Iss drawer ki chabbi hameesha se ussi k pass thi magar us ne kabhi khola nhi tha. who janti thi k sikandar ki personal cheexien then us men. Drawer mien hasb e tawaqu kaghzaat they, kuch tasweerien, dostoon k khat aur sab se akhir men ik diary…
us ne sari cheexien nikal leen. Diary ko khol k dekha to har date k sath entries then. Us ko hairat hoi kiun k us ne kabhi sikandar ko diary likhte huwe nhi dekha tha..
pehli entry un ki shadi k din ki thi… ‘ajj who meri hai.. finally’ aur phir apna aur us ka naam .. ik sath..!
ik bhegi woi muskarat us k laboon pe aa gai..
aur phir ik k baad ik entry.. us k bare men.. us ki batien, us ki shararatien, jumle, kaproon ka rang aur us ki chooriun ki tareefien.. us ki zidd aur us ki jhagre..
yeh talkh talk sa lehja, yeh taiz taiz c baat
mizaj e yaar ka alam sharab jaisa hai..
aur bohat jaghun per mustaqbil ki baatien, siachin jane ki baat, wahan se wapsi ka plan.. aur bachun ki planning…
aur akhri entry siachin jate huwe… ghar se nikalte huwe akhri lafz .. us k naam k sath..
Hijr ki ik lambi manzil ko jane wala hoon mien
Apni yadoon k kuch saaye mere sath karo
Aur phir who wapis lahore aa gai.. sirf 7 maheene baad, sikandar us ki xindagi se yun nikal gaya jaise kabhi aya hi nhi tha. us ka roona, bilakna, cheekhna, pagalpan, deewangi sab beekar tha.. he was not coming back.
Aur phir us ne chor dia… beshak us ne sabar nhi kia tha , apni marzi se nhi kia tha.. majbooran kerna para tha kiun k us k bus men aur kuch tha hi nhi…
Waqt guxar ra tha .. ab b katt raha hai.. kabhi koi thandi hawa ka jhonka us k chehre se takrata hai to beikhtiyar usey sikandar ka khyl ata hai.. yeh hawa ussey b chuu k aii ho g..
Sikandar ki yaad se us ka wajood har waqt moatar rehta hai..
Xindagi men who kia kare g, aney wala kal kaisa ho ga.. yeh who nhi janti…
Who jogan nhi hai, aur shyd apne borhe maa baap k samne apni zidd ki deewar b na kharri ker sakkey g, sikandar k liye koi jung b na larr sakkey g …
per ik baat to teh hai k zindagi k har morr per sikander us k sath rahne wala hai … chahe woh jahann b rahe, jiss k sath b rahe.. sikandar us ki dil ki basti mien khilne wala pehla phool tha, aur us ka rang tahayat laho se surkh rehna hai...
per ik baat to teh hai k zindagi k har morr per sikander us k sath rahne wala hai … chahe woh jahann b rahe, jiss k sath b rahe.. sikandar us ki dil ki basti mien khilne wala pehla phool tha, aur us ka rang tahayat laho se surkh rehna hai...
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteyess...
ReplyDelete