Khali-uz-zehan, sar-e-rah patharoon ko thokaroon per rakhe ik nojawan chala ja raha hai. Cigarette k dhuwen k marghoole urate, sarak per bandhe gariun k taante ko janchte is nojawan ki manzil namaloom hai. Aur phir ik deo qamat imarat k mathey per saja who banner us ki tawaja khainchta hai. Be hungam logoon aur Rangoon se saji who tasweer concert k liye dawat e aam hai .
Raat gehri hote hi, is nojawan k qadam maqam-e-toofan-e-badtammezi ki taraf uthte hain jahan dakhil hone wala har shaks ikhlaq o iqdar ki hadood se bahir hai. Har zehan fikr-e-dana se azad hai aur har rooh mast haal hai, jahan har badan azadi se thirakne aur saroor k liye betab hai.
Raat gehri hoti chali jati hai aur nojawan zulmat k andhe daldaal men dhansta chala jata hai.
Cig se sharab, moseeqi se naach aur sofa se sanamqada tak ka fasla ik hi jast men teh kerne wala yeh nojawan agle din k suraj k sath beedar hota hai aur sar jhatak ker dobara khali uz zehni k sath sarkoon ki dhool urata dikhai deta hai.
Yeh manzar Islami jhamooriya-e-Pakistan ka hai aur yeh koi ik waqiya nhi hai. Yahan to har roz aaise hazaroon nojawan aaise hazaroon daastanoon ko janam dete hain. Har ik dastan ka najam yeh kehta hai.. ‘mashriki iqdar mar rahi hain’
Likin yeh tasweer ka ik sirf ik rukh hai…
Dosra rukh humien Swat ki waddi men le jata hai jahan chand inteha pasand nojawan ik nokhaiz kali ko koorun ki zad per rakhe huwe hain.jahan Islam k naam per Pakistan ka mehmaar apni hi asmat ko sar-e-aam zad-o-kob ker raha hai aur ik alam yeh pukar raha hai “sana khuwan-e-taqdees-e-mashriq kahan hain?”
Nateeja yahan b yehi hai ‘mashriki iqdar mar rahi hain’
Sawal yeh hai k wo mashriki iqdar hain kahan jab wo moseeqi per tharakte nojawan k pass nhi, Kalashnikov uthate alm-e-jihad buland perne wale Taliban k pass nhi, paghri pehne punchait lagaye wadeere k pass nhi , eewan men baithe sadar k pass nhi, sipa salar e afwaj k pass nahi to mashriki iqdar kahan hain??
Mashriki iqdar dar haqeeqat un maa’un k seenoon men dafn hain jinhun ne hamare un aba o ajdad ko janam dia jin k bare men kaha gaya hai k “tujh ko abaa se apne koi nisbat ho nhi sakti”
Mashriki iqdar un behnoon ki rida k palu’on se bandhi hain jo quran k saye men apne bhaiyun ko talwaroon ki jhankaar se goonjte maidan-e-jung men bhaijti hain.
Maskriki iqdar un baap’on k jhuriun zada hathun men hain jo apne shaheed baite ko kandha dene k bawajood mazboot hain.
Aaj mulk –e- khudadad k charoon suboon k charoon konoon men nazar dohrane wale ko is bat ka bakhobi andaza ho jaye ga k sana khuwan e taqdees e mashrik kahan ja sooye hain aur mashriki iqdar q mar rahi hain!
Bachun ko cable aur internet ki rangeen aur azad dunia aur mutasrif kerwa k apni social activities men gum maa aur business k nam per andha paisa kamane wala baap apni oolad ko kia mashriki iqdar se wakif kerwae ga?
Westernization k chakar men ghanchakkar bani awaam apni agli nasaloon ko kin mashriki iqdar ka toofa de g?
Mulk dushmanoon aur islam dushmanoon ko aziz rakhne wale rehnuma apni 17 carore awam k iqdar ko kia tahafuz dey sakien gey?
Yeh aj ki tareekh ki who chand karbnaak haqeeqatien hain jin se nigah churana har sahib e ilm aur sahib e dana insane kliye maqam e sharmindagi b hai aur maqam e majboori b!
Majboori is ziman men k tasaleem e shikast hamari sarshist men nhi aur sharmindagi is liye k dil to baharhal haal-e-dil se wakif hai!