Tuesday 22 November 2011

Mere Charagar ..!


‘itne khuwab mat dekha karo, reality is very different’ 
ik aam se din, ik aam c mulaqat men, aam si batun k darmiyan us ne aam se lehjey men kaha tha magar pata nhi kiun men kuch chonk si gai. Ik lamhe ko hairat ne meri ankhun men ghar kia hoga likin phir men hans parri thi.
‘khuwab bht ahem hote hai pagal.. xindagi men jahan kami reh jati hai us ko yeh poora kerte hain’
Us ne beyaqeeni se mujhe dekha per kuch kaha nhi.. kaash wo us din kuch keh deta..
Phir us ne bohat socha, us waqt tak socha jab tak meri ankhun ka har khuwab us k naam ho gaya aur ussey laga k mere khuwab mujhe kabhi haqeeqat men nhi aney dien gey aur who khuwaboon men nhi reh sakta.. usey laga k who mere sath nhi reh sakta..

“tere hath se mere hath tak, who jo hath bhar ka tha fasla, kai mausamoon men badal gaya
  Ussey napte, ussey kattey, mera sara waqt nikal gaya”

Zindagi guzar to rahi thi, kia tha jo 6 sattarun per phaila wo khat mujhe na milta. Kaash men ghar pe hi na hoti ya kaash sirf aj k liye hi sahi who address mera na hota…

“ tum thek kehti thi, xindagi men khuwab bht xaroori hote hain. Tumari ghani palkoon per thehre un khuwaboon ne dua ban ker meri rahien asaan ker di hain. Men aj b tumare khuwaboon ki rehguzar per chal ra ha hun. Jab kabhi mayoosi channe lagti hai to koi khuwab umeed ka jugnu ban k roshni ker deta hai aur agar kabhi ansu bahane ka dil chahe to koi awara sa khuwab muskarat ban k mere hoonton per sajh jata hai.. suno, tum khuwab dekhna mat chorna”

Kitna bura huwa k jab yeh perh k bebasi ke ehsas se mene kai ansoo baha diye to mera koi khuwab muskurahat ban k mere hoonton per ni aya balkey us pal mere har har khuwab ne mujhe bohat rulaya..
Shyd who khuwab jiss k naam key they, sirf ussi se wafa ker rahe they…

Bahir achanak bht baraf perhne lagi aur har cheez safeedi talley chup si gai … mera dil chaha k men b bahir jaun aur wahan khari rahun jab tak mera sara wajood baraf se dhak nhi jata aur men apne wajood men dafaan nhi ho jati.
Likin shyd men yeh sab b nhi ker sakti.. aur kia farq parey ga k agar men aaisa na b kerun.. jiss din us ne meri ankhoon ka akhri khuwab torra tha, mera wajod to ussi din mitti ka ho gaya tha..

“yeh jo zakm zakm se khuwab hain, yeh jo raat hai mere chaar su
Yeh jo bebasi ka hai kafla, mere raastun men rukka huwa
nahi kuch b tujh se chupa huwa, issey hukm dey yeh kare safar..."

"ALLAH O AKBAR' durr kaheen moazan ne taqbeer parii aur men apne charagar se milne chal di.... 

4 comments:

  1. nicely written .... kahani k flow par comment karna bht mushkil hai, caz of the topic which is quite kia kehna chahiye ...nazuk aur pe-cheeda..!

    ReplyDelete
  2. loved it !!! khwaab..m obsessed with them, their beauty n futility...
    plz likhti raho.aur urdu me type kr sakti ho instead of roman? zada acha lagega

    ReplyDelete
  3. khuwaboon ko challenge nhi kerna chae... i think they haunt you forever..

    ReplyDelete