Sunday 2 October 2011

sach aur kufr...


Men ne aj tak sach nhi kaha. Waja yeh nhi thi k men sach keh nhi sakti thi balkey waja who khauf tha jo mujhe sach se lahaq tha. Mera sach kufr tha. Kam se kam mujhe yehi lagta tha k mera sach kufr hai iss liye mene hameesha iss sach ko chupaye rakha. Likin kal raat ‘Nepal nagri’ men  mustansar sahib ne achanak mujhe aaisi baat keh di k men chonk gai. Mujhe laga k who jante hain k mera sach kuch aur hai tabhi to unhun ne itne bamani andaz men kai jaga kaha  ‘ har kissi ka sach alag alag hota hai’
Sach to yeh hai k mujhe apne sach k ilawa sab ka sach jhoot lagta hai. Sach yeh b hai k mene aj tak kissi aur  k sach per dhehan nhi dia..
 Hum musalaman hain… ALhamdulilah! Butoon ko nhi poojhte likin mera sach yeh kehta hai k beshak log  pathar k button ko  nhi poojhte likin un sab ne apne apne dil men ALLAH k naam ka ik but saja rakha hai jise who waqt bewaqt sadja dete rehte hain. Aur mera kufr yeh hai k men aj tak ALLAH k naam ka koi but apne dil men nhi saja sakki, sadja to durr ki baat.
Musalmano ne ‘do qoami nazriya’ dia, us ki bunyad per Pakistan banaya. ilzam ALLAH pe dalla k hum ALLAH ki ibadat kerte hain, but parastoon k sath nhi reh sakte per hazar saaloon men unhun ne chupke se apne dil men ALLAH ka b ik bout bana dala….
Aur har who shaks  jo y eh na ker sakka us per fatwa jarri ker dia..
Shayad mujhe b fatwoon se hi dar lagta tha. Wagarna sach to yeh hai k ALLAH hameesha nur ki surat men dil men utra hai aur who b aaise k mera wajood roshni ho gaya. Men ALLAH se kabhi aqeedat na rakh sakki. Na hi kabhi aqeedat k marey dur dur se apni aqeedat ka izhar kissi shameeli dhulhan ki tarhan ker saaki. Per mene Us se beinteha mohabbat xarur ki hai. Behadh, begarz mohabbat. Mohabbat b aaisi k men kissi ziddi bache ki tarhan ALLAH se gaud men baithne ki farmaish kerti hun. Bachpan se baghi tabiyat k bais kabhi darwaze ki aut se halka sa jhank ker kissi ko sharmeeli muskurahat ka taufa na de saaki.. yehi mamla ALLAH k sath b rawaan rakha hai..
Mujhe apna app Arab k us badhu jaisa lagta hai jo ALLAH ki mohabbat men sarshar ho k beikhtiyar pukar uthta hai ;’ Aye ALLAH , kash tu mere pass hota to men tere baal sanwarta, tujhe bakri ka taza dood pilata, tujhe nehlata, tera khayal rakhta…’ aur ALLAH ko b yaqeenan us k sach per piyar aya tha chahe ALI(r.a) ko bura b lagey.
Ya shayad mera dil Mansur hai, jiss k maan men jab ALLAH bhar gaya to who chila utha :’ ANAL HAQ’
Phir mahaballi ne suli charhaya b to kia ganwaya Mansur ne…
Ibrahim(a.s) kiun be khatar kood pare atish-e-namrood men.. beshak unhien b mohabbat ne us atish-e- zar men ALLAH ka nur dikhlaya ho ga…
Ghulam Farid ne rohi ki chilchilati dhoop men ALLAH k ishq men dhoop ker jo kafiye kahe, Allah ne unhien qabooliyat ka ehzaz bakhsa aur inam k taur per anay wale waqtoon k liye amar ker dia..     Gandhiya maidiya khol na mahi,

Ajj ik qaid se mere wajood ne rihaaii pa li hai, mera dil seene ki qaid men kissi tazadam parinde ki tarhan pharpharaya hai.. mene apne sach ko tasleem ker lia hai.. who sach jo xehr ban raha tha meri be ehtinai se, aj mene usey amrat men badal dala hai..
Mera sach ,kufr hai aur kufr mera sach hai..
Oh suhagan hoiyaan, jeera naal mahi de gandhiyaa….!

8 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. It is, what you think... (sach aur kufr)
    hum sub muslmano ko "siratul mustakeem" pah chalnae ke dua mangni chahyae...

    anyhow,
    Gandhiya maidiya khol na mahi,

    Oh suhagan hoiyaan, jeera naal mahi de gandhiyaa….!


    yeh kafiye kon sae kalam sae uthaya hai?

    ReplyDelete
    Replies
    1. ji beshak ..humien dua mangni chae... Allah sab ko sirat e mustaqeem pe chalaye ameen.

      its a qafeeia by Ghulam Farid. meda ishq v tu.

      Delete
    2. main nae yeh qafeeia youtube sae suna hai.
      (http://www.youtube.com/watch?v=Ifiov8jo3Sg)

      aur bohat sarae logon sae discuss kya hai but iss main kuch controversy hai...

      Delete
  3. moreover;
    In Quran (6:125)
    "So whoever Allah wants to guide - He expands his chest to [contain] Islam; and whoever He wants to misguide - He makes his chest tight and constricted as though he were climbing into the sky. Thus does Allah place defilement upon those who do not believe."

    ReplyDelete
  4. mujhe to koi controversy naxar nhi aati. its how you perceive things.
    ik hi baat kuch logoon ko thek lagti hai ,kuch ko ghalat.. its all in your mind i think

    ReplyDelete
    Replies
    1. nae ustara boht ziada b nae bus kuch log kah raha tha k "ya banda jo alfaz bol raha ha, pata nae yah theek b hain ya k nae?" but i think these qafeeas are normal.

      Delete
    2. This comment has been removed by the author.

      Delete