Thursday, 28 February 2013

Teri meri anaa part 4

Recap:
Mehru sun k bhi yun baithi rahi jaise kuch suna na ho..
bilal ka nam us k andar koi b halchal jagane men nakam raha tha...

Now read further:
 Bahir lawn men kia ho raha tha .. us se anjaan mehr dupattey men chuppi baithi thi... Filhal kissi k pass  waqt nahi tha k uss ka haal ehwal poochta...
dupattey k andar baithey pehle pehel usey shadeed rona aya.. magar  phir apni beeti hoi zindagi ka har pal yaad aney laga.. 
kaisi thi woh... 2 saal pehle tak..jab moiz ko janti nahi thi...
aur phir moiz se milne k bad... kitna badal gai thi... 
aur ab... bilal us ko apne rang men dhal le ga.. 
ajeeb hoti hain larkiyaan bhi.. kachi matti jaisi.. jo jiss rang men dhalley, bus usi k rang men dhal jati hian... narmi se, mulahimat se,,,  aur mard, dhalne ka fun khoob jantey hian....badal dena ata hai un ko... bus tabdeel kerne k baad sambhalna nahi ata....

Mehr aur Mia do hi behnien thi. apne baba ki bohat ladli.. mehr pehli beti hone ka faida uthati to mia k pass sab se chota hone ka vote tha. aur baba to jaise un k samne moom they.. ama ghussa b kertien , magar baba hameesha hans k taal dete..."kia karoon? ALLAH ne shehzadiyun ki zimadari di hai.. pori to kerni parey g."  lss laad pyar k sath sath baba ne un ki tarbiyat b alaa khatoot per ki thi. ghar sambhalne se le k games tak, har cheex men agey.. har cheez men awal...

Mehr ka  har andaaz aam sa tha, aur yehi baat us ko khas banati thi...
har aam si larki ki tarhan us ko icecream, cake, fanta, chicken, chocolates, mangoes, pink color bohat pasand tha. sab logoon ki tarhan woh apne dostoon ki company enjoy kerti thi.. birthdays aur shadiyun men khoob enjoy kerti thi.. 
likin is sab k bawajood , mehru ki zaat ka ik hissa woh b tha jo har dekhne wale ko nazar nahi ata tha aur na hi mehru kissi ko dekhne detti thi. woh us ki personal space thi..us ki sanctuary! 

Noor mehel men rehne wale sab log ik dusre se yun jurrey se jaise kissi haar men moti piroye hoon.. mohabaat aur izzat un k awaleen asool they..woh be tahasha ameer nahi they, likin un ko jeene ka dhang ata tha.. apne apne portions men sakoon se rehte they.. shyd un k darmiyan zan, zar aur zameen na thi, iss liye.
mehru apne khandaan ko idealize kerti thi.
Noor mehal ka naam us k taya aba ne Noor Haveli k naam pe rakha tha. un k gaoon ki haveli.. per najane kiun woh log kabhi wahan jatey na they... Us ne amaa se Haveli ki bohat tareefien sunni theen.. bohat bar baba se kaha b likin bus ik yehi bat thi jo baba taal jatey they..
Apne ghar ki zinadagi itni maxedar thi k us ko kabhi xiada kami mehsus na hoi thi.. bus ik shoq tha.. bari c haveli men rehna kaisa lagta ho ga.

 .... Noor mehel k 4 portions ka ik hi lawn tha.. garmiyun ki shamun men aam aur sardiun ki shamoon men maltey lawn men rakh k sab cousins baqaida shart  laga k khatey .. us k bad kissi na kissi game ka ehtamam b xaroori thi.. badminton aur ludo... crosswords, scrabble..  Education aur Intelligence Noor mehel ki 2 khasusiat theen. aur show off ka koi moqa woh hath se jane nahi dete they.. chahe ik dosre ko hi kiun na dikhana ho.

Hasan aur Mehr ki team behtareen thi. issi liye woh roz har kissi ko challenge kerte phirte they .. haar jane pe pizza khilana b perta to mehru ko bura nahi lagta tha... woh aaisi hi thi, rishtoon k peche cheexun ki perwa na kerne wali..

aur wada to mehru k liye jaise marne maarney wali baat thi.. wasif lala bechare iss adat ka shikar ho chukey they.. ik bar sardiyun men wasif lala ne us se keh dia k jab barf lparey g to men tumien Abbottabad bhejoon ga.. 
un becharey ki buri qismat k ik hafte baad barf lag gai.. mehru ne Geo suntey hi un ko phone milaya.. ik bar na uthane pe., us ne dobara milaya... aur itna milaya k wasif lala ko meeting se excuse ker k ana para..
Ghar aa ker Mehru ko bulaya aur khoob izaat ki... woh un k samne khari ansoo bahati rahi.. 
"Ab jao!" lala khafgi se boley. likin mehr ne jaise suna hi nahi tha.
"mehr, go!"
likin mehr bibi bus khari ansoo bahati raheen.
" mehr .. uff! kia baat hai?" wasif lala aaah bhar k boley.
" lala ... ap ne kaha tha abbottabad le jaen gey.. barf lag gai hai." ansoo aur hitchkiyun k darmiyan woh boli.. to wasif lala ko us per .. pyar aya... 
" mehr .. is dafa nahi.. next time." unhun ne us ko talaaa.. un ko waqai kam ha.
" you promised lala... "
phir, lala ne bohat talaa likin mehr ne poorey ghar men har ik ko pakar pakar k kaha k wasif lala ne wada kia tha.. unhun ne promise kia tha... 
bilakhir ik raat taya ji k ghar dinner per taya ji ne kaha : " wasif tum ne kiun wada kia tha??" Baba log hans parey.
wasif lala bechare kia kehte...
" awal to ainda wada mat kerna. aur yeh jo ker lia hai to le jao bachoon ko friday ko Abbottabad. Office men dekh loon ga." 
yun un bechare ki khallasi hoi.

Mehr ko zindagi achi lagti thi... " zindagi jeene men aur waqt guzarne men bohat farq hai beta!" woh aksar mood men aa k philosophy jharti. 
sab us ki khoob kit lagate they.. us ki ulti seedhi harqatun aur be tukkey adventures per.. likin bus mehr aaisi hi thi... Jab tak ussey moiz nahi mila tha.. woh aaisi hi thi.... 




No comments:

Post a Comment