Tuesday 5 March 2013

Teri meri anaa part 5

Recap:
Mehr ko zindagi achi lagti thi... " zindagi jeene men aur waqt guzarne men bohat farq hai beta!" woh aksar mod men aa k philosophy jharti. 
sab us ki khoob kit lagate they.. us ki ulti seedhi harqatun aur be tukkey adventures per.. likin bus mehr aaisi hi thi... Jab tak ussey moiz nahi mila tha.. woh aaisi hi thi.... 

Now read:
Woh khizaan ki ik aam si sham thi. Mehr shadeed boriyat ka shikar thi. 
"ALLAH kia boriyat hai... sab kider hain?" ik se dosre portion men woh ghoomti rahi.. magar siwae tai ami aur chachyun k koi na mila.. woh b apne apne kamoon men magan..
ghar aa kr us ne ik text likha aur tamam ghar waloon ko send ker dia.
nateeja yeh nikla k sham k 7 bajey tamam log, maltoon k sath taya abu k lounge men mojood they. iss dafa koi team nahi thi. taya aba aur mohsin chachu judge they.
"jiss ne ziada maltey khaye woh winner ho ga. simple" mehru ne game batai. us ko fruits bohat pasand they. us ka dil chata tha k khane ki jaga b koi fruit hi khati rahe.
sab gol daira bana k baith gaye aur darmiyan men maltoon ka pahar khara tha. asal muqabla mehru aur larkoon k darmiyan hi tha. baqi larkiyan to tameez se hi khati theen. 
adhe ghante baad, taya abu k lounge ka manzar dekhne wala tha. hasb e tawaqoo maidan men mehru hassan waleed aur usman reh gaye they.
Bari si chaddar pe ja baja matloon k chilkey parey they aur sath hi baij idher udher bikhrey parrey they. 
ik dosre ko harane k chakar , khoob badtameezi se ik dosre k hath se malte chente huwe woh khoob hans rahe they.
Iss shugal k mahol se taya aba log rukhsat le k study men chale gaye. khawateen b ik kone men najane kon sey mo'ozu pe guftagoo kerne lag gai theen.
Itne mien bahir bell ki awaz sunai di. Ali gate kholne gaya. baqi mahol per koi khas farq nhi parra tha.
1 minute baad Ali wapis aya to akela na tha.. us k hamra ik aur admi b tha... 
"Assalam o alikum" No-warid ne ooncha salam ker k sab ki tawaju khud pe mabzool karai.
aain us waqt jab mehru k sleeves uper ko charhey huwe they, kandhun tak atey baal poni men qaid kerne k bawajood samne se bahir nikal aye they aur maltoon ka raas us k hathun aur mun pe laga tha.. aur woh hassan se malta lete huwe betahasha hans rahi thi , us shaks ne us ko dekha tha.
sab per ik tahirana nazar daalte huwe, haqeeqatan us ki nazar mehr per aa k ruk gai thi. us ka qasoor nhi tha, mehr ka huliya hi aaisa tha.
sab se pehle chachi jan ko hosh aya. apni jaga se utheen " Walikum asalam. kaise ho beta? Moiz ho na?"

aur ohir ik ik ker k sab hi trance se bahir aye. 
"Moiz kon?"  mehr ne 4 , 5 dafa sab ka mun dekh k ik hi sawal kia likin kissi ne us ko jawab dene ki zehmat nhiki.
thori hi dair men Moiz ko taya aba k pass study men pohancha dia. tamam larke huliya darust ker k wahan hi jane lagey. 
ik halchal c mach gai thi ghar men...
"Ami..." mehr ne ami ko zor se pukara jo kitchen men jane laggi theen.
" mehru... jao ghar.. halaat thek karo apni. kia badatamezi ha?" ami n us ki sunne ki bajaye apni suna di..
"ami.. yeh kon admi hai?" us ne ami ki baat an sunni kerte huwe pocha.
" Moiz hai na" 
" Ami ... moiz koi asmaan se nhi utra na k mujhe us k barey men pata ho ga.. kon moiz bhai??" us ne jhunjhula k poocha.
" Noor haveli se aya hai." Ami ne aaista se kaha
"OOoooooooo" mehr ne lambi c O ki...
 "IN-TE-RES-TING!!!" us ka bohat purana tajasus jag gaya tha... Noor Haveli ka moima tha kia...

Mehr ko bohat jald pata chalne wala tha..

Yeh moiz se us ki pehli mulaqat thi...

No comments:

Post a Comment