Sunday 6 December 2015

Tasweer aur Manzar

Ajeeb fitrat hai hum insanoon ki.. na qadri ..
Najane saari zindagi kia dhondte rehte hain? Kissi afsane k saach hone ka khuwab dekhte hain, kiss anhoni key liye betab rehte hain. 'Mohabbat' kerna chahte hain magar saari umer kissi ishare k intezar men ganwa dete hain.
Yun lagta hai jaise hum har cheez ko bohat qareeb se dekhtey hain. Itna ky hamari nazar men bus wo ik cheez, chahe kitni hi choti kiun na ho, sama jati hai.
Ik gehri saans ley key, 2 qadam peeche hatt k manzar ko dekhne ki koshish karuen to shayd jan paaen ky manzar men hamari soch se ziada vusat hai..

Gulab k phool ki talash men umer ganwae wala , kabhi yeh dekh ley k wo kanwal k phooloon se bhare talaab men zindagi guzar raha tha to apni bewakoofi pe khud ko jee bhar k kosey.

Sehra men rehne wale ko samnadar ki hirs men ,nakhlistan nahi chorna chaeye.
Jungle mien chalne waloon ko abshar se mohabbat ka saleeqa hona chae, na ky seedhi rah ki talash.
Baraf Posh paharoon pe baseera kerne waloon ko allaao ki qadar kerni chae, na ky sahil ki tamana.


Mujhe nahi maloom ky men shera men hun ya kissi barf posh pahar pey likin yeh to tey hai k men zindagi men un cheexun k peeche bhag rahi thi jo meri rah men rakhi hi nahi gaen. mien kissi aur ki zindagi pe nazrien jama ky apna safar teh ker rahi thi..
Najane kitne kanwal, gulab ki havs men nazar andaz ker aii hun.
Najane kitne allaao roshan they , jin ki hidat ko sahil ki talash men, mene mehsus hi nahi kia.

Ab men rukna chahti hun, thehrna chahti hun..
Ik gehri sans le k , apni jaga se 2 qadam peeche hatna chahti hun . ..
Men tasweer ko nahi, porey manzir ko dekhna chahti hun...  

No comments:

Post a Comment