Tuesday, 10 July 2012

Kahani mohabbat ki


11th December,2012
'Kuch bhi nhi badla... aj b sardiun ki shamien utni hi udas hain, barish ansoon ki manind barasti hai, zameen safaid barf  ko kafan ki tarhan lapait leti hai.. aj bhi har taraf woi sanata hai, aj b dil men woi veerani hai aur aj b man mandir men bus ik hi awaz goonjhti hai.. tumari hansi ki awaz'
cigerette k dhuwen ne andhere kamre men ajeeb si ghuttan paida ker rakhi thi. lamp ki halki roshni men woh thaka thaka sa apni diary likh raha tha. 
dekhne men khoobru tha. Na shave berhi woi thi aur na ankhoon men ratjagoon ki surkhi thi. Guzarte mah-o-saal men us ne apna dard chupana khoob seekh liya tha.
Ab us ki neendun ka safar bhi asaan tha magar kabhi kabhi jab khuwab ziada din us k wajood se khali rehte to ik bechaini si us ko apne hisaar men le leti. Sajdey taweel ho jate aur sarkoon ki khak channe ka dorania barh jata.
18 maheene se us ki iss mamool men shayad hi koi tabdeeli aii ho. pehle pehel us k ghar wale, dost pareshan huwe, magar ab to jaise sab ne us ki halat se samjhoota ker lia tha.Shayad iss kahani men kuch naya nhi tha. woi ik larka , woi ik larki aur woi pagal c mohabaat, jo najane kitne azeeatnak anjam dekhne k nawajood har dafa do masoom logoon k darmiyan aa khari hoti hai..

'tum chupati kiun nhi ho k tum mujhse mohabbat kerti ho?' Dobte suraj ko dekhte huwe us ne poocha. Woh us k itne araam se mohabbat pe eman lane pe heeran tha.
' jo baat ho chuki hai, ab us ka kia inkar karoon?'zara sa hans ne us jawab dia.
'aaise itni mohabbat na karo mujhse'
us ki iss baat per bari ada se us ko dekhte huwe, woh jitane wale lehjey men boli :

'mujhe samjhaya na karo k ab to ho chuki mujh ko
mohabbat mashwara hoti to tum se pooch k kerta'

woh bohat badal gaya tha. waqt kabhi ik sa nahi rehta. zindagi mien jo batien ap ko kissi morr pe khush kerti hain, phr unhi batun ko yaad ker k rona aata hai. Ali Abbas ko bhi ab har baat us ki yaad dilati thi aur har yad pe woh siwae ansoo bahane k kuch ker nhi sakta tha. andekhe ansoo jo bus us k dil pe girte they...

'Dar nahi lagta tumien?' thandi c sham men sarak k kinare baithe huwe Ali Abbas ne us se poccha.
Ice cream khate huwe us ne uper dekha 'Tum se?'
woh 'haan' kehna chata tha.. ' Waqt se... mujhse bhi' woh bohat mohtat se lehjey men bola
'tumien kabhi lagta hai k men tumien chor k chali jaun g?' ice cream cup footpath pe rakhte huwe us ne poocha
'Nahi'  itna to woh janta tha ussey
'Aisa hi yaqeen hai mujhe tum pe.. iss se b xiada. to dar kaisa?' tissue se hath saf kerte huwe woh muskura k boli.

dheehan us ki taraf nhi tha... woh bus usey dekhe gaya.

Har din woh ussey heeran kerti.. apni baatun se, khayaloon se, adatoon se, apne wajood se aur woh mabhutt sa ho jata.
kabhi ussey lagta k yeh sab kuch sach nhi hai. 'she is too good to be true.' woh apne best friend ko kehta.
Ali Abbass us k sehar men tha aur har din mazeed us ki taraf khicha chala jata. bekhud sa ho jata tha us k samne phr bhi apna ikhtiyar nhi khona chata tha. woh darne laga tha ab us se. bhagna chata tha. ussey lagne laga k aaista aaista woh khatam ho jaye ga aur har taraf bus woi reh jaye g. ik zara c larki se to woh ni har sakta na..

Ali Abbas k gahr men sab jante they un k barey men. jiss din us k abba ne usey bula k shadi kerne ka kaha to woh saaf inkar ker aya ' Awal to men shadi nhi kerna chata abhi aur agar bhi loon to b us se nahi karoon ga'
Abba pareeshan chehre liye us se bus itna hi keh paaye.' magar kiun? woh bohat achi larki hai'
' Sahira hai woh.. jadoo kerti hai' woh kuch nhi bola bus soch k reh gaya...

yehi sab us se chand din k baad bina kissi lihaz k saaf saaf usey bhi bata dia..
'Jhoot' kali ankhoon men heerat ka jahan liye woh ussey dekh rahi thi. usey yaqeen nhi aye ga woh janta tha.
ik dam hi khali ankhoon men pani bhar aya.. ghutti ghutti awaz men boli ' kia tum mujhse... mien.. achi nhi lagti tumien?'
saaf alfaz men to na kabhi na us ne kaha tha, na Ali Abbas ne. bus ik khamosh sa moida tha jaise..
ab yun pehli dafa yeh sawal kerte huwe usey bohat sharam aii. woh janti thi k aaise sawaloon ki nobat us waqt ati hai jab kehne ko kuch na reh jaye.. yeh kissi b taluq ka akhri sawal hota hai..
phr b us ne yeh akhri bazzi khaili.. apni qeemat lagai us shaks k samne..
Ali Abbas ne kuch second usey dekha aur chup chaap uth aya... ussey pata tha k woh bohat rooi ho g per ab woh kuch nhi ker sakta tha..

8 MONTHS LATER:
Is guzre waqt mien woh bohat yaad ai.. bohat se moqoon pe, bohat se batien us ki yaad dilati theen per woh dil sakht kiye raha. apne app ko behlane laga.
us din najane kiun har harba nakam ho ra tha. porra din ik bechaini men guzra tha. lakh koshish k bawajood bhi woh apna dhehan nai hata sakka. 
thak k us se apna phone nikala. 5 minute screen ko dekhta tha phr phone sidetable pe rakh dia. usy samajh nhi aa rahi thi k phoen kerna chae ya nahi. bilakhir dil mazboot ker k us ne phone ker dia.
1, 2,3,4,5 bells ... woh kiun uthae g us ka phone... aur bilkul ussi waqt phone utha lia.
'hello' woh yun jaldi se bola jaise dar ho k phone kat na jaye.

'kiun phone kia apne?' yeh us ki awaz to nhi thi.. choti ki awaz thi. kai baar us ne choti se baat ki thi, woh bohatachi tarhan pehchanta tha us ki awaz ko.
' mien.... kahan hai wo?' khud ko mazboot zahir kerne laga likin jawab men tooti c awaz ne us ko hazar andeshun men mubtala ker dia.
'please.. ab kia chate hain ap? chor dien us ko'
'choti please.. please phone mat band kerna.. just tell me.. woh kaisi hai? thek hai na?'
aur woh jo shayad yeh sunna cha ra tha k woh theek hai , bohat khush hai, us ko yaad nhi kerti.. apni zindagi men mutmain hai.. siskiyan sun k pareshan ho gaya.. dil ik lamhe men doob k ubhra..
'choti..'
'mar rahi hai woh.. ap ne kiun kiya aaisa? she was fighting cancer aur ap ne .. ' ansoo us ka jumla mukamal nhi hone de rahe they.
Ali Abbas ko laga jaise asmaan gir paraa ho.. pata nhi maut ki takleef kaisi ho g.. shayd iss se kam..
us ik lamhe k liye us ki sans jaise thehr gai thi, palkien jhapakna bhool gaya woh, na koi aahat koi na dharkan sunai di.. yaqeenan us lamhe men kainat b thehr gai ho g...
' nahi.. us ne mujhe.. she never told me' Ali Abbas ko samajh nhi arhi thi k kin alfaaz ka sahara le.. kia kahe k bazzi us k haq men ho jaye. usey laga k yeh koi khuwab hai.. bus ankh khulne ki dair hai..
'pyar kerti thi apse... pyar chae tha usey apka.. tars ya hamdardi nhi.. per you were just not worth it' ghussa, nafrat, bebasi . aur najane kia kia tha choti k lehjey men...

Ey Mohabbat tera bakht k tujhe bin mol mile
Hum se anmol jo heerun men tula kerte they..

yeh us ka pasandeeda tareen shair tha. aur hameesha sharat men yehi perha kerti thi.
'tumien pata hai dunia men jitni mohabbat aur izzat mere pass hai na tumare liye, utni kissi k pass nhi ho g'
ussey apne app pe ghusa aney laga, nafrat hone lagi..
apni soch se... kon c male ego? kon c dominance.. bus mohabbat thi.. kiss se bhag raha tha wo? us se? k woh cha jaye g us pe.. apni mohabbat se khaufzada tha .. sapurdagi se dar gaya tha..

Abhi justaju men hun us ki to ussey ehsas nhi mohsin
ro ro k pukare ga humien, zara mar to jane do...

us ki qabar pe har sham taza gulab rakhta tha. pachtawa hota tha usey.. per guzre waqt ko wapis lana mumkin nhi tha..

'woh ap ko yaad kerti thi.. akhir waqt tak.. jab tak bol sakti thi.. bus ik hafta pehle us ne baat kerni chor di thi.. woh bohat takleef men thi.. per hameesha ap k liye dua kerti thi .. kehti thi k bus ik wohi hai jiss ki ankhoon men zindagi hai. woh khafa hota hai to suraj b bujh jata hai. us ne hum sab se wada lia tha k hum apko maaf ker dien gey' woh choti se milne gaya tha. sab ne ussey maaf ker dia tha bus ik woh khud apne app ko maaf nhi ker sakka tha.

Qabaristan k gate pe baitha woh bacha roz ussey dekhta tha. aj  us k sath sath chalne laga.
'tum kon ho?' laperwahi se bache ne poocha. woh chup raha
'phool k kiya lagte ho?' bache ne dobara pocha.
'phool kon?' us ne kuch heerani se bache ko dekha
'woh' us ne peche mur k us qabar ki taraf ishara kia jahan us k laye taza gulab mehak rahe they. us k alfaaz gum ho gaye.
'to kon ho tum?'
' phool wala'
aaista se keh k woh shikasta qadmoon se bahir cahl diya...




4 comments:

  1. while reading i was feeling i am watching some movie. the whole story written in good flow.

    last two para's are extremely well inscribed about the boy's solitary and his silent message to the boy (phool wala).

    ReplyDelete
  2. one suggestion... it is more good if you give the title 'phool wala' to this story.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  4. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete