Tuesday 27 November 2012

Ammi :*

this post is SPECIALLY for my mother! people think that we dont get along and we have thousand rows per day but watever be the case... Mother! u r the ultimate! epic .. u r the one, lady... the one!
m adding this additional note because i feel i still can write A LOT about her.. i cant never stop! and the original blog is just as i wrote it the first time.. emotional, touchy, senti.. not making sense!



Kitna bura laga mujhe maa yeh sunna k tum beemar ho.. mujhe nano yaad aa gaen.. who waqt yaad aa gaya.. who lamha jo thehr gaya tha.. who alfaz jo abhi tak khuram mamoo k kamre men goonjh rahe hoon gey .. aur mera chup k rona.. pata nhi nanoo ko pata challa ho ga aur who jan bojh k avoid ker rahi hoon g ya shyd who itni takleef men theen k un ko nhi pata challa.. agar pata chalta to who poochteen mujhse.. jaise tum poochti ho.. hameesha, har baar!

Kabhi ap ko b pata chale ga k un beeshumar laraiyun aur khafgiyun k peeche bohat dhair sari mohabbat hai maa.. aur us mohabaat k sath bohat sara qarz hai maa… tumari mehnat aur mohabbat ka, ansoun ka, muskurahatoon ka, be neend k guzri un raatun ka, pareeshani men katey ik ik pal ka, hazaroon duaoon ka aur tumare kanoon men paari un baaliun ka maa jo ab najane kahan hoon g… 

Maa kabhi jo tum se rooth jaun to neend nhi aati .. aur khush rehna chahun tum se rooth k to dil murjha jata hai..

Maa meri ankhoon men bohat se ansoo tumare naam k hain..

Aur meri zaat k 99 hisey tumare hain..

Maa tum meri zaat ki takmeel ho..

Mujhe qayamat k din tumare naam se pukare jana hai, tum mera fakhar ho..

Men jo  baat baat pe itne maan se rooth jati hun maa us men b tumari mohabbat ka qasoor hai..

Kiun aaise bighar dia mujhe maa k ab kissi ki chahat achi nhi lagti?

iss dil ko koi aur raas nhi ata k tumare ilawa kissi aur ka ho jaye.

Kissi tehreer men rabt zaroori hota ho ga maa likin tumare liye likhe gaye in be tarteeb jumloon men bohat lazaat hai ..

Bus itni guzarish hai maa, k kabhi mujhe judai  ka dukh nhi dena..

Tumari zaat k ghane shajar k bina mera natawaan wajood miitti men mil jaye ga..

Tum se mere sare hosle hain, sari himmat aur azm b..

Aabhi bohat waqt hai maa.. us waqt ko khona mat..

Abhi to bahar ne pehli dastak di hai.. ab to poori tarhan darwaza khola b nhi..

Abhi to jee lene ko bohat se lamhe hamare muntazir hain

Abi to muje tumare wajood ki khusboo se apni sans mehkani hai

Abhi to mujhe tumare piyale se bohat sa sabr peena hai maa

Aur hayaat ki iss taweel shab men mujhe tumari baatun k jugnoo chunne hain…

Abhi mera haath mat chorna maa…

Abhi to men tumare bina kuch nhi..

Tumara anchal choot gaya maa to iss bheer men kho jaun g..

Mujhe khone mat dena ma..

Abhi nhi…



3 comments:

  1. nice write but would have been better if you write it in urdu font.

    ReplyDelete
  2. Nice... A simple and VERY realistic way to express love for your mom.

    I thought I was the only one to love my mum so much... :')

    ReplyDelete