Tuesday 15 January 2013

Quetta....Pakistan...

Mien Quetta k liye kuch likhna cha rahi thi bohat dino se..
mere andar bohat si baatien hain.. bohat se alfaz hain.. jazbaat hain...
mere ansoo hain jo mere qalam k zarye behna chate hain...

Likh sakti hun... likha bhi hai magar yun lagta hai jaise adhora hai, kuch kami hai.. jaise alfaz bohat hain magar ma'ani nahi hain..
jaise tehreer hai, rawani nahi hai... dard bohat hai, per rabt nahi hai...

sochun to yeh kami bohat barri hai... yh khalla bohat wasih hai.. .khamooshi ka darya jo maazi men behta tha, us ka paat bohat choora hai... bhalla chand alfaz azala kaise karien gey..

meri tehreer men kami bohat hai.. un 104 afrad ki jo Quetta men 5 din pehle shaheed huwe.. aur un k sath bohat se un gumnaam Pakistaniyun ki jo najane kab kab, kahan kahan nahaq maarey gaye... woh sab jin k liye men kabhi kuch bol na sakki, kabhi kuch likh na sakki..is qadar shidat se kuch mehsus na ker sakki...

waqt waqt ki baat hai shayad... be-hisssi bhi ho to kab tak aakhir?
mere log yun maarte yaheen, kabhi jo gulistan tha aaj maqtalgah hai.. aur dekho to mre chaar su kiss qadar sakoon hai...men kiss qadar anjaan hun, kiss qadar magaan hun...

Abbottabad aur Quetta ka hazaroon mile lamba fasla, aj simat k jaise 2 qadam ka ho gaya hai... ajj dil pe chot laggi hai to jaise Quetta ki sada mere kaanun se takrai hai.. aaj jab dil se mohr hati hai to yeh kaise takleef hai jo lamha ba lamha barhti ja rahi hai... aur yeh ansoo kaise.. jo bin bulaye meri ankhoon se tapak rahe hain... aj Quetta durr kiun nahi lag raha... aj khayal aa raha hai to bus Pakistan ka... baqa ka, mustaqbil ka, apne hone ka... apne hone ki waja ka.. ajj koi ikhlifaq nahi yaad aa raha.. aj rang-o-nasal, mazhab aur firqey ki deewar zameen-boos hai...

aj har fikr jaise mar gai hai, zinda hai to bus Alamdar road pe rakhey gaye shaheedun ki yaad...
aur un yaadun ko seene se lagaye matam kunah woh hazaroon log.. un logoon ki ankhoon se behte namkeen ansu, un ansuun men ghulli bebase, aur us bebasi men bujhi aah!
Aj Pakistan men kuch zinda hai to bus maut, azeeat,nainsafi, be-reham hukmaran, shadeed mausam aur be-hiss qoam... baqi har ehsas aj marr gaya...

Aj ki wehshat pe beshak hamare laboon pe qufl hain per kal kaise mun chupaien gey jab Hazara kii roshan ankhoon wali beti apni baap ki maut pe sawal kare g... kaise samna karien gey us bache ga jis ka bachpan,ghar,mustaqbil sab kuch ik dhamake ki nazr ho gaya..
kiya jawab ho ga humare pass... waja kia bataen gey?
'Mazhab' .....???
kitna heeran hoon gi us ki kali ankhien yeh sun ker ...
aur phir yaqeenan woh jawab mangey g... apne baap k, bhai k, apne khandaan k khoon ka...
woh pooche g k batao kia ALLAH roz-e-mehshar, apne bandoon ki saza aur jaza se pehle tum se mushawrat kare ga?
kia aimal namey pe tumare dastakhat darkar hoon gey?
bolo kia ALLAH ne wahi ki tumien k maar dalo un ko jo khud ko Shia kehte hain... kia Quran k baad koi aur saheefa aya sirf yeh batane k Shia ghalat aur Sunni theek hain??
kia ikhtilaf e rai zindagi cheen lene ka haq deta hai?
kia Pakistan k aa'en men yeh likha Quaid ne maar dalo us ko , jiss ki baat nagawar guzre..
bhallah Quaid ne yeh mulk kiss ik firqe, nasal, qabeele ya khandaan key naam wasihat men likh dia tha??
Kia Pakistan key hawa, pani, asman-o-zameen pe pehra bitha diya gaya hai?
kia ab azadi girvi rakhwa di gai hai?
kia ab mehengai k badle Pakistaniyun ki jaan sasti ki gai hai?

Aimal Kansi se shuru hone wale iss safar ka koi annt bhi hai?
kia roz roz marne ka yh silsila kabhi rukke ga ya chup chaap Pakistan ko hum yun haar dien gey?

kia Balochistan k baad hum Sindh aur KPK men aaise halaat paida ho jane ka intezar karien gey?
kia jazbey se 'PAK SAR ZAMEEN SHAD ABAD' perhne wali qoam aasani se ghulami qabool ker le g?

'Jab tak hai yeh dunia baqi, hum dekhien azad
hum dekhien azad tujhe....'
kia yeh azm ab khuwab banney wala hai?

Baat ab sirf sarhadun ki hifazat nahi rahi... yeh Fauj ka imtehan nahi hai..
ab koi fauj, koi siyasi party kuch nahi ker sakti... ab baat har fard ki hai..

Ab har fard meri millat k muqadar ka sitara hai....!

No comments:

Post a Comment