Wednesday, 20 March 2013

teri meri anaa part 10

Recap:
Apne kamre men Moiz sofe pe baitha soch ra tha. " what had gotten into  me? why did i tell her to sit n hv a drink."
Us ki neeyat men koi khoot nhi tha...us ne to bus woi kia jo us k dil ne kaha... Mehr itni pyari lag rahi thi, woh us ko dekhna cha ra tha.. aur bus.. aur woh kia samjhi..."Shit!" 

Now read:
"Phewww..." moiz ne dono hath chehre pe phairey... Abhi bohat kam tha, wo kamre men nahi baith sakta tha... iss masle ka hal wo baad men soche ga..

Neeche aatey hi , ussey andaza ho gaya k sab log pindal men hain aur mehendi shuru ho chuki hai.. Pindal men dakhil huwa to us ne bina ko stage pe baithey dekha... 
ik hi stage pe  larke aur larki k baithne k liye alag alag kone sajaye gaye they.. 
chunkey sirf ghar wale hi they, iss liye function bohat hi bht informal tha... Moiz ko pata tha k iss shadi k liye bohat tayarian ki gai hain, likin akhhir men yeh sab yun ho ga us ko umeed nahi thi... itne rang, itni roshni ... us ko dekh k hi acha laga.. sara khandaan ik jaise ikatha bohat bht acha lag ra tha..
Mehendi pe waise b bahir k log kam hi they, iss liye sab khoob maxe ker rahe they..
pehle dhool baj ra tha to taya ji sameet sab uncles ne luddi daali,.. larke wale jazbati ho gaye.. phir to sab larkoon ne muqable pe bhangrey aur luddi daali.. beech men hi dhulha b shamil tha... larkiyaan hooting kerne lageen..
Moiz enjoy to ker raha tha but us ko tasweerien lene ki ziada fikar thi... 
11 bajey khana khaya aur thori dair ko sakoon huwa.
likin adhe ghantey baad hi izzah ko apni itni mehnat se tayaar ki hoi medley yaad aaney laggi.. sab ko uthane k baad , us ne Hassan ko wapis laptop pe bithaya.. 
yellow se pindaal men sab sides pe baithey they.. baqool izzah ussey dance k liye ziada space chae hoti hai..
 "Mehendi hai rachne wali
 hathun men gehri laali
kahien sakhiyan , ab kaaliyan hathun men khine wali hain
tere maan ko jeevan ko nai khushiyan milne wali hain"
un k medley k aghaz men hi itna touchy gana tha k bina apa k ami ko rona a gaya.  Mia ko hansi aa gai.
"Abhi to pehla gana tha, akhir tak to mujhe lagta hai aunty white chadrien bicha lien g." us ne mehru ko kaha.
"badtameez!"
moiz camere ko ik angel pe set ker k tasweer khainchne hi laga tha k us ki wrist watch ka alarm bajne laga. 12 baje gaye they..
" kia yaar..!" picture chor k wo alarm band kerne laga.
taqreeban 15 second baad us ne wapis upr dekha to mehru sab larkiyun se agey khari thi.. 
               "Jana hai tujhko
"                piya k angna
                 saja le bindiya
                 saja le kangna
                 peehar se ai purvai k 
                 angan men goonji shehnai k
                 babul ki meheki angai k
                 gooorriii....."
                 
bohat  nafasat se hiltey huwe woh kissi guria ki tarhan move ker rahi thi.. Moiz ne focus ker k us ki bohat si taswerien le dalien... Likin ik dam se us ka dil uchat ho gaya.. use bura laga. bohat bura laga .. mehru ka yun ban sanwar k sab k samne nachna us ko bohat bura laga..

2 bajey Baba ne sab ko utha jane ka kaha... Waise b un k k lihaz se pehle hi bohar dair ho chuki thi...
sab thak b bohat gaye they likin khush b bohat they aur maxa  b bohat aaya tha.. 
apni apni chexien sameet k sab andar jane lagey.. larke pindal se har cheez uthane lagge takkey subha jaldi hi yeh sab uthwa sakien.

Mehru pindaal se nikal k samne wale darwaze ki bajey peeche kitchen k darwaze ki taraf barh gai. us ne wahan store men mehendi k thal waghera k liye jaga banani thi... pindal aur kitchen k darwaze k darmiyan fasla thora ziada tha aur pichli taraf hone k bais wahan sirf ik kamzor sa bulb tha, jis ki roshni nakafi thi.. 
mehru ne gali men qadam rakha hi tha k ik dam kissi ne us ka hath kainch k ussey barrey se akhrot k darakht ki  ooat men ker lia.. iss se pehle k mehru koi b awaz nikalti, ik mazboot hath us pe mun pe aa ruka..
"ssshhh.. mehru men hun moiz .. cheekhna nahi."
yeh kehte huwe us ne apna hath hata lia.
mehru iss waqt cheekhna to kia oonchi awaz nikalna b afford nahi kr sakti thi. us ko moiz pe shadeed ghusa aney laga aur ghusse k marey us ki ankhoon men ansoo aa gaye.. 
Moiz us ko rota dekh k ghabra gaya. Pehle hi woh apnii iss harqat pe sharminda tha. " KIA HO JATA HAI ISS K SAMNE MUJHE!!!" 
"mehru mat roo please... i just wanted to tell u something." moiz ujlat men bola.
" tell me what moiz?" mehru awaz daba k ghusse se boli. " look at you. u are so mature and the way u r behaving. aaise to koi teenager b nahi kerta!"
" i know.. but just listen to me once.. and then u can go..." 
" what!" mehru ne bina kissi lihaz aur tameez k kaha.
" dont dance like that mehru.. ever... please.." moiz ne lajajat se kaha.
"what????" ab k mehr ne heerat se poocha.
" i dont like it..  i dont want people to see you like that.. please dont?" 
mehru ko samajh hi na aai k woh kia jawab dey... asoolan ussey moiz ki baat per ghusa ana chae tha k woh kon hota hai us ko batane wala jab us k ghar waloon ko koi masla nahi hai, likin koi baat thi jo mehru ko sakht jawab dene se rok rahi thi... moiz ka lehja, us ki ankhien ya mehru k dil men moiz k liye mojood soft corner... 
" you won't... right?" " hai na?" moiz ne narmi se poocha.
mehru us ki ankhoon men na dkh sakki aur sar jhukka dia... moiz k sawal kerne pe us ne aram se naffi men sar hila tha..ussey moiz ka care krna acha laga tha, ussey yeh jan k acha laga tha k moiz ne us ko note kia hai aur us  ka kuch bhi kerna moiz ko affect kerta hai... moiz ko us ki perwa hai..
" haha" moiz us ki harqat pe halka sa hansa. zor se hansna is waqt afford nahi ker sakta tha.
" acha ab bhag jao." 
mehru ne jaldi se ansoo ponchey aur kitchen k darwaze ki taraf barh gai.
andar dakhil hone se pehle us se murr k dekha to moiz abhi tak waheen khara us ko muskurati nazroon se dekh ra tha. 
mehru ko laga jaise 1000 watt ka bulb achanak 2000 watt ka ho gaya hai... 
             ( to be continued)



Sunday, 17 March 2013

teri meri ana part 9

Recap;
" hey you.."
mehru ne peeche murr k dekha..
" would you be my friend?" moiz ne kaha.
mehru kuch na boli.. bus andar jatey jatey ik muskurahat uchal gai us ki taraf..

Now read:
Agley din sari haveli men lighting hone laggi... Sara din , woh Moiz ko brown shalwar kameez pehne, bazoo fold kiye. idher se udher jatey dikhti rahi... sab larke intezamat men masroof they... chexien lani, khane ka intezam, ye wo..hassan DJ tha.. mehru ne us ko playlists bana k di theen.. 
"ik b idher se udher hoi na, to mujhe jaantey ho." 
" mehru jitni ho na utni hi raho!" hassan ne ussey ghoor k dekha... 

sham peri to pori haveli jagmaga uthi.. Lighting iss qadar khoobsurat lag rahi thi... mehru,  mia aur izzah lawn men kharri batien ker rhi theen jab izzah ne kaha : " hain moiz photography krta hai?"
"nahi to.." mehr ne kaha.
" wo dekho.." us ne kone ki taraf ishara kia, jahan Moiz ik professional cam se, haveli ki sajawat ki mukhtalif zaviyoon se tasweerien le ra tha .. 
" moiz bhai." mia ne awaz di to woh jo apni khainchi hoi tasweer ko dekh ra tha, sar utha k idher udher dekhne laga. woh teeno zara andheri jaga pe khari theen is iye us ko nazar nhi aaen .
" yahan pe.." 
un ko dekhte hi Moiz ne hath hila k hello kia.
"ik pic hamari b lien." mia uss ki taraf jate huw oonche se boli.
" sure, ajao. iss jaga khari ho." moiz ne darakht ki taraf ishara kia jiss pe lights lipti theen.
" akeli nhi bhai, group photo." 
" haan to woh b ajaen na." 
teenu pose bana k khari  ho gaen.. moiz ne camere se dekha to Mehru k chehre pe yun light perh rahi thi k adha chehra andhere mn tha aur baqi roshni men.. Moiz ne lens ko zara aur zoom ker k mehru ki ik solo pik le li.. 
" ho gai?" izzah ne poocha?
" nhi hil gai hai... waheen kharey raho." Moiz ne yeh keh k un ki tasweer li. " theek hai. baad men dekhna."

un k jane k baad moiz ne mehru ki tasweer nikali aur dekhne laga... ik ajeeb si chamak thi us ki ankhoon mien.. moiz us k chehre ko chu k muskura dia...

Mehendi pe sab larkiyun ne mukhtalif rangoon k lehenge pehene they. Mehru ka yellow tha jis k border pe Indian style ki patti banni hoi thi. Mia ka aaisa hi green tha, izzah ka red... baqiun ne to paranda daal lia tha likin Mehru k baa ik to silky bohat they, uper se steps men kattey hone ki waja se paranda pehenna  namumkin tha lihaza us ne baal khuley hi rakhey. Jewellary men bus kanoon men traditional ear rings pehne.. hathun men chooriyan.. aur ankhon men dhair sara kajal .. lip gloss aur bus... 
"tum tayar ho to ja k gajrey le k aoo." izzah ne us ko almost tayar dekha to kaha.
"neeche jana parey ga." us ne shaka banai.
"haan chali jao moti, kuch patli hi ho jao g."
" dafa ho. ja rahi hun." izzah ki taraf cushion phaink k woh neeche ki taraf bhaggi.

sehriyun se taizi se utarte huwe, ik dam us ka paoon phisla.. ik dam se railing ko pakar lia likin cheekh to as usual us k mun se pehle hi badamad ho chuki thi. uper atey Moiz ne yeh manzar dekha to bola." dekh k nhi chal sakti app?"
"kiss ko dekh k chalna tha?" mehru ko hansi aa gai.
Moiz ne us k mazak ko ignore kia.
"kahan ja rahi ho?"
"Gajrey lene."
"mere pass hain woh to." 
"hain? mene to waled ko kaha tha laney ko."
" to men le aya hun to ab woh valid nahi hian?" Moiz ik dam chir gaya.
" nhi men to ... " mehr kuch khne laggi likin Moiz ka mood dekh k chup ker gai. " Dey dien."
"aoo mere sath." 
Mehr ne ab k dar k marey yeh b na poocha k jana kidher hai. Moiz k mood se to lag ra tha ik aur sawal pe utha k k khirki se bahir phaink de ga.
apne room ka darwaza khol k Moiz andar chala gaya.Mehr ko andar jana ajeeb laga. woh waheen ruk gai.
"AJAO. bahir kia chila kat ri ho." 
Mehr zara jhijak k andar challi ai. Bohat hi elegant kamra tha moiz ka,... blue aur grey k shades men set huwa huwa. 
"baith jao." 
mehr chup chap baith gai. is waqt woh chahte huwe b kuch nhi bol sak rahi thi. apne room fridge ka darwaza khol k moiz ne us se poocha." kia peo g?"
"ji? kuch nhi... " mehr confuse hone laggi.
moiz ne juice nikala aur ik glass men daal k us k agey rakh dia.
"gajrey de dien."mehr ko ab asal men ghabrahat hone laaggi thi.
"na doon to?" moiz ne ussy dekh k kaha.
"OMG! men q aa gai iss k sath sath... is ka to room b bikul kone men hai.. kia karoon? cheekhun?" mehru ko samajh nahi aai k kia karey.
"tumara prob kia hai mehru?" ik dam moiz hans k bola.
"kia matlab? mera prob ? APP ka kia prob hai mr canada?" mehr ka ik dam se meter out  ho gaya.
 "tum q itni extremist ho? jo kuch tum soch rahi thi na , sab tumare mun pe likha hai."
"haan acha hai agr likha hai to. men ne apne ghar men kabhi aaise nahi dekha. ap k pass ik cheez hai to bus de dien.. iss sab drame ka kia matlab hai??"
" what?" moiz shocked huwa. " mene tumien juice dia kiun k mere pass rakha tha.. koi b hota to men yehi kerta.. its courtesy to me."
" aainda mere sath courteous mat hona. mujhe nahi pasand." 
"  You are so.... " moiz ko ghussa aa gaya
"gajrey dien mujhe."
" no way! tumien nhi milien gey ab!"
mehru us ki baat sun k apni jaga se uth k darwaze ki taraf chal di. darwaze se nikalte huwe us ne peeche murr k dekha aur kaha. 
"bhar men jao!" 
aur bhag gai.
ussey moiz pe bohat ghussa aa ra tha... " besharam, behuda insaan. mujhe laga yeh acha hai. Yale se kia hota hai.. cheap." mehru ko pakka yaqeen ho gaya tha k 5 min tak woh na uthti wahan se to kuch bht bura ho chuka hota. apni taraf se woh izzat bacha k bhaggi thi.

Apne kamre men Moiz sofe pe baitha soch ra tha. " what had gotten into  me? why did i tell her to sit n hv a drink."
Us ki neeyat men koi khoot nhi tha...us ne to bus woi kia jo us k dil ne kaha... Mehr itni pyari lag rahi thi, woh us ko dekhna cha ra tha.. aur bus.. aur woh kia samjhi..."Shit!" 
                                                                                                    (to be continued)

Friday, 15 March 2013

Wednesday, 13 March 2013

Watch out for ... Taha n Rauhan!




The music industry of Pakistan has been set ablaze by many artist in the past and even today we get to hear so many young artists trying out their lucks in this field, however, very few of them are actually able to make a mark.
I came to hear about 'Taha n Rauhan' through a friend who insisted that I join their page. I have to say at first i wasn't very enthusiastic about it as I was too busy for the follow-ups on new bands but after listening to their songs, following them seems like a good time pass now :D.
'Taha n Rauhan' are a couple of passionate youngsters who have got a very prominent music gene and are now ready to make waves with their inborn talent. With Rauhan's fingers making no mistake on the guitar's strings and Taha's impeccable notes, they have the charm that is just about everything they need to get into the industry. Not only to survive, but to rock it.
Although the two young musicians have  experimented with the already sung, famous songs of music gurus yet , still the people with the taste and an eye for a talent have spotted them. Walnut studios, famous for hand picking the jewels of music industry, didn't let this talent go in waste too.
Particularly the fact that Rauhan belongs to my hometown, Abbottabad, has filled me with a sense of pride. Atta boy!
After getting to hear their covers, I traced the amateur artists and requested a little fill in of their journey from being simple guys to chasing the dream of being rock stars.  The story began when Rauhan was still a school boy and asked for  a guitar as his birthday present. Little did his daddy knew that this guitar is going to be the first step. Gradually Rauhan learnt the use of the strings and mastered the job in the coming years.
From high school, Rauhan went to a professional college and along with his suitcases he threw his guitar on his shoulder too, to be taken along to hostel.
Now, now.. here's the filmy twist. There Rauhan met the other part of his band. Taha.
Taha had a very groovy voice from the start. He would sing to himself  all the time and eventually gained confidence to let others get a taste of his singing. Enthusiastic with the positive response Taha started practicing more. In the car, in gatherings and in the dead of the night.. alike. Sufi kalam attracted Taha alot. The depth of the music made the feelings come out and gave eternity to the tunes.By the time Taha had taken admission in the same professional college as Rauhan, he was ready to blow people off with the strength of his vocal cords.
 The two little music maniacs kicked off at once and before the black witch could cast a spell, they were performing live on stage for their university events, sending golden sparks up the sky. They posted their videos on you-tube where the public at large admired them with an open heart, encouraging them to go a step ahead.
"When walnut studios contacted us, we couldn't believe it. Not that we had doubts about ourselves but the fact that people still care about the talent and believe in giving chances, overwhelmed us." said Rauhan beaming.
Their first gig was organised in Abbottabad. Rauhan was very sweet to actually invite me personally to attend the function which i did. ( who would want to miss a chance like that?)
and their i met the voice that makes you tap your feet. Taha.
The modesty , the attitude, the talent .. everything was in the perfect balance. blended nicely with a good presentation.
I was actually happy to see 'our generation' acting so mature and not all too fake-hip just to impress an audience who are even faker. They weren't dressed up like freaks nor did they have weirdo hair-dos. (the best thing!) 'Taha n Rauhan' made that evening glow!

BTW, as smooth it sounds in my writing, the journey wasnt THAT easy. But since its my success story of the month lets not go in details of the dark road. They have come out of it clean!

Now the group is performing on stage in different events organised in cities all over Pakistan. Since now i keep taboo on them, they were in Karachi earlier this year and also in Lahore. Islamabad event managers have a new name in their performance list also. Music latte has specially been a milestone for these freshman of music industry.

Their own songs are on the way too. Looks like the new year has brought good luck for many of us.
Wishing them the cherries, we all look forward to hearing something that would soothe the relentless air of our country.
Seriously people, i think you guys need to check them out too. It wont be disappointing and like wine, m sure they are going to get better and better with each passing day.

For following them on FB, here's the link : https://www.facebook.com/TahaAndRauhan?fref=ts
You can also, see their videos there. Don't forget to check them out!

-XOXO



Tuesday, 12 March 2013

teri meri ana part 8

Recap:
Is waqt ussey bus yeh fikar thi k woh kaise lagey g, kia pehne g ... us k dresses kin colors k hon gey, shoes kahan se le g, jewellary, hair style.. 
us waqt mehr ko lagta k dunia men yehi important tareen chexien hain... 
us waqt tak mehr in mohabaatun k ilawa kissi mohabbat ka maxa nahi chakha tha...

Now read:


Yousaf Lala ki shadi…. Noor Mehel jaise ik dam se jag gaya tha.. halchal to roz hoti thi likin shadi jaise hangame pehli baar jagey they. Taya ji se le k fizzi tak har koi na sirf be inteha khush tha balke bohat excited b tha… zevrat, kaprey, sajawat, mehmaan.. hazaroon kam they jo subha shuru hotey to raat gaye tak jarri rehte..
Larkiyun ko sirf gaaney bajane aur apne kaproon ki fikar thi .. larke b kuch kam na they..
Raat jo mehr dholak le k baithti to waleed b thaal la k muqabla kerta … Itni hansi ki awazien ateen drawing room k sab ma’aen bus ghar ki nazar hi utarti rehteen…
In sab chakaroon men bilakhir us ki haveli waloon se b mulaqat ho gai..
sab kuch itna normal tha k mehru ko hairat hoi k itne saal ki kat'ah taluqi ki waja kia thi akhir? Moiz k baba Azam uncle to khas tor pe mehru ko bohat sweet lagey. safaid kalaf wali shalwar kameez men , bari c moonchon k sath pehle to mehru ko kafi daraooney lagey but ik dafa jab un se baat cheet hoi to pata challa k apne zamane k GC k graduate hain aur literature se khasoosi lagao hai. Itni general knowledge thi un k pass, mehru ko maxa aya un se baat ker k.. no doubt, un ka beta itna intelligent tha. ( pyara b.. mehru ne dil men socha)
Moiz pichle hafte Canada se aa gaya tha. Likin mulaqat to ab shadi per hi honi thi , jab who yousaf lala ki mehendi le k haveli jatey.. aur bina apa ko rukhsat kerwa k latey.

Shadi se 2 din pehle who sab log haveli chale gaye.. 3 din wahan rasmien honi theen. Aur phir baraat le k wapsi… yeh un ki rivayat thi… aur itne saalun baad haveli waloon se dosti hoi thi.. taya ji aur baba log har baat manney ko tayar they.

Haveli pohanch k mehr ki nazrien bus moiz ko dhondtii raheen per woh kahien dikhai na diya. dil ik dam bujh sa gaya.. ussey mayoosi hoi.. shayad ussey tawaqo’h thi k who b us ko dekhne aur milne k liye itna hi bechain ho ga jitni who thi.. mehr ko khud pe ghusaa aney laga. Dil moiz se khafa ho gaya..
halankey baat bewakoofi ki thi, us ki moiz se mulaqat hi kitni hoi thi.. likin pata nhi kiun ik achanak hhi  mehr ko us ka khayal aney laga tha... din men kai kai baar .. aur woh us ko sochti .. 
pehle pehel to us ne khud ko roka per moiz ka khayal itna pyara tha k woh khud ko mana na ker pai ziada dair tak.. moiz ko sochna us ki adat ban gaya tha, us ki routine ka hissa..
is sab k darmiyan ussey khayal hi nahi aya k moiz ko to shayad yaad hi nahi ho ga k mehr b koi larki hai... jo us ko sochne lagi hai, us k khayal se baat kerne lagi hai...

Dinner per finally us ko moiz nazar aya.. sab se miltey huwe woh sham men Lahore se wapsi ka bata raha tha. Mehr ne chor nazroon se us ko dekha magar us ka dhehan bilkul us ki taraf nahi tha. sab se baatien kerte huwe us ne shyd hi mehr ki taraf dekha b ho. mehr ko ghussa aney aga. : " zara sa pyara kia hai, over ho gaya hai. men kam pyari hun koi. huh.!"

safar aur phir poora din idher udhr hote huwe sab be inteha thak chukey they, so dinner k ghantey baad hi sab apne apne kamroon men challey gaye.
Mehr ko neend nhi aa rahi thi.. dabbey paoon shawl le k woh sehriyan charh k chatt pe chali aii... fizza men halki c khunki thi..aista sey chaltey huwe woh railing k pass aa k khari ho gai.. hawa chali to mehr k baal urr k us ki ankhoon k samne aa girey..mehru mun se phoonk mar k baal hatane lagi k hath shawl se nikalna bohat mushkil lag ra tha..
" Mien help karoon?" 
ik dam se koi bola to be sakhta mehru ne cheekh marri.."aaaaahh!!"
"sshhh.. kia kr ri ho? sab ko jagao g." halke se kehte huwe moiz us k pass aa khara huwa.
mehru heerani se usey dekh rhi thi." yeh idher tha to mene kiun nahi dekha?"
"coffee peeney ka dil kr ra tha mera. sab soney chale gaye to men yahan aa gaya.." moiz kehne laga.
Mehru ko iss waqt haqeeqatan sarey romantic gaaney yaad aa rahe they aur sath sath apni imagination per bohat hansi.
"i didnt know k tum jag rahi ho warna i would have made a cup for you too. we can share." kehte kehte moiz ka lehja shararti ho gaya.
mehru us ki baat pe hansi likin boli nahi. moiz ko hairat hoi kiun k mehr k ghar ik hafte reh k us ko andaza ho gaya tha k mehr men sit-still gene nahi thi aur usey batien krna b bohat pasand tha.
"acha.... umm tum bol kiun nahi rahi?" moiz ne poch hi lia.
" kiun k men soch rahi hun."
"really.. didnt know tum yeh b kerti ho along with so many other things. kher kia soch rahi thi?"
"men soch rhi k agar yeh film hoti to iss waqt konsa gana lagta?" mehr ne sanjeedgi se kaha.
"What!??" moiz waqai men yeh expect nahi ker raha tha.
"haan na... imagine.. "
"errrr i dont know..."
"mre samne wali khirki men ik chand ka tukra rhta hai?" mehr ne us ko dekh k pocha.
" mehr .. that just gave me cancer. ok!" moiz hansne laga.
" i was joking silly." mehr ko b hansi aa gai k moiz is mazak ko serious samajh raha tha.
"m not silly." moiz ne frown kerte huwe kaha.
( OMG.. yeh accent!) " who knows"
"kher ... i am not as silly as you. you are still a legend." moiz ne us ko chiraya.
" kher yeh to sach hai, i am a legeng!" woh akar k boli aur hans di.
" acha, its quite late now..  go n sleep shabash." moiz ne gharri dekh k kaha to mehru ko khayal aya k ussy waqai neend aaney lagi hai.
" ya ok.. good nyt." mehru ne wapis andar jane k liye qadam bharhaye.
abhi woh darwaze k pass pohanchi thi k moiz ki awaz ai.
" hey you.."
mehru ne peeche murr k dekha..
" would you be my friend?" moiz ne kaha.
mehru kuch na boli.. bus andar jatey jatey ik muskurahat uchal gai us ki taraf..

                                                                          ( to be continued)




Friday, 8 March 2013

Teri meri anaa part 7

 Recap:
"Nai, i dont talk to strangers!" nakhre se keh k woh andar bhag gai.
moiz us ko dekhta reh gaya. abhi to itni friendly thi aur ab yun jawab de gai hai..
 us ko sochte huwe moiz ne coffee ka cup mun se laga lia...

Now read:

Moiz k jane k baad b ghar ka mahol pehle jaisa nahi huwa... ya shyd mehu ko kuch badla badla lag raha tha...
Ik sham Baba jaldi ghar aa gaye.
" Asslam-o-alikum" mhru unhien dekh k chehki.. pichle 2 hafte se baba be-inteha busy they.. Mehru ki bus ujlat men hi mulaqat hoti thi unse.
"Baba janii." Mia stairs se neeche atey huwe zor se boli. Un dono ka josh dekh k baba muskura diye... Koi andaza bhi nhi ker sakta tha k yeh do betiyan un k liye kia theen.. un ki sans chalti thi in k dam se.. koi zara c bhi taklf un ko ho , woh bardasht nhi ker sakte they.
"Mehru janu, chae milley g?" baba sofey pe baithte huwe boley. " Mia ama kahan hain ap ki?"
" yes baba." mehru kitchen ki taraf chal di.
"Ama taya abu k ghar hain baba. keh rahi theen ap aaen to fresh ho k waheen a ajen. baba mene ap k kaprey nikal diye hain.." un k sath jur k baithtey huwe mia keh rahi thi.  Baba men us ki jan thi.
"Thank you." baba ne us ko pyar kia.
" Baba kia ho ra hai taya ji k ghar? " mia ne moqe se faida uthate huwe poocha. 
kab se un sab ko takleef thi k barey kia khichri paka rahe hain likin koi b kuch batane ko tayar nahi tha..

Agle din sunday ko bilakhir yeh raz b maloom ho hi gaya.

Lunch per sab log un k ghar invited they. khane k bad jab sab lounge men baithey to chachu ne kaha. " kitne arse se koi ronaq hi nhi hoi." 
"Haan , men b yehi soch raha hun. koi hala gula hona chae." taya aba boley.
" Shadi se bara kia hangama ho ga." yeh choti chachi theen..
sab bache apne apne ami aba ka mun dekh rahe they. un ka andaaz aaisa tha jaise khoob yad kerne k baad chotey bache sabaq sunate hain.
Acting men kuch b natural nahi tha.
" papa jo kehna hai , aram se bata dien plz." Ali ne bilakhir un ko toka!.
yeh over acting ab sab bachun ki bardasht se hi bahir ho rahi thi.
Baroon ne b kalma-e-shukar ada kia tha...
" Asal men.." baba ne baat shuru ki. " Hum yousaf ki shadi ker rahe hain,"
"WHAAAAAAAAAAAAAAAATTTTT???' sab se pehli aur oonchi cheekh izzah ki thi..
"yaay!"
"wowww!"
"great!"
"kab????"
"kiss se?"

Itne sare sawaloon aur bhangroon aur luddi k darmiyan men taya bechare batate hi reh gaye..

" Robina se... hamare khandan ki bachi hai.. Noor Haveli ..."
itne shor men kissi ko fikar nahi thi, kon robina, kahan se ai hai, kia taluq hai, noor haveli itne saal baad un k darmiyan kiun aur kaise aa gai hai?
woh sab khush they.. betahasha khush .. Yousaf lala Mehru k liye bohat ahem they.. yunhi to wasif lala b bohat ache thy likin yousaf lala ki baat hi aur thi. woh hamesha se un se bohat close rahi thi.. baba k bad yousaf lala hi thy jo mehu ki koi baat nhi talte they.. 
aur ab yousaf lala ki shadi... mehru khushi aur excitement se uchal rahi thi... "awesome. kitna maxa aye ga."
Is waqt ussey bus yeh fikar thi k woh kaise lagey g, kia pehne g ... us k dresses kin colors k hon gey, shoes kahan se le g, jewellary, hair style.. 
us waqt mehr ko lagta k dunia men yehi important tareen chexien hain... 
us waqt tak mehr in mohabaatun k ilawa kissi mohabbat ka maxa nahi chakha tha...

Wednesday, 6 March 2013

teri meri anaa part 6

Recap:
"IN-TE-RES-TING!!!" us ka bohat purana tajasus jag gaya tha... Noor Haveli ka moima tha kia...

Mehr ko bohat jald pata chalne wala tha..

Yeh moiz se us ki pehli mulaqat thi...


Now read:


Moiz 1 hafta un k ghar men raha.. Taya abu ki study mien najane kia meeting hoti rehti thi... ami to aaise raaz rakhe baithi theen jaise Pakistan ki salmiat ka sawal ho.

larke b sanjeeda nazar aney laggey... larkiyun ko koi kuch batane ki zhmat nahi kerta tha.. likin baat khas thi.. itna to andaza ho hi gaya tha!
Mehru ne pehle kuch din to sabar kia likin phir ussy ik hi banda nazar aya jo us ko haqeeqat bata sakta tha..

Moiz roz subha jogging kerta tha, yeh to mehr ne dekh hi lia tha.. Hafte ki subha, coffee bana k mehr ne lawn ka rukh kia jahan moiz abhi abhi wapis lauta tha. Canada se aaya tha, yaqeenan us ko coffee achi lagti ho g...


"Assalam o alikum" Moiz sar jhukae apni sochoon men magan tha.. mehru ki awaz sun k chonka.. ankhien utha k us ko dekha jo hathun men safaid mug aur chehre pe ik bari si smile saja k khari thi.


"Walikum salam." moiz ne sanjedgi se jawab dia. likin ik dam se us ka us din wala huliya yaad aya to hansi aagai jissey woh bht maharat se chuppa gaya..

" yeh coffee... m sure ap ko coffee pasand ho g? hai na?" mehru coffee ka mug mazeed us ki taraf kerte huwe kaha, woh har haal men moiz se baat kerna chati thi.
" jii... pasand to hai." moiz ko us ki harqatien mashkook lag rahitheen.. pichle 5 din se siwae salam dua k us ka kissi b larki cousin se koi interaction nahi huwa tha. aur aj achanak is ko coffee ka khayal kaise aa gaya?
" ji mene b socha ap mehmaan hain.. asal men hamare ghar men to koi coffee peeta hi nahi hai. to iss liye men khudi le ai ap k liy" farate se jhoot boltey huwe mehru ki nazroon k samne kitchen cabinet men nescafe ki bottle ghoom rahi thi.. aur swedish coffee k woh dherun packs jo yousaf lala se us ne mangwae they farmaish ker ker k..

"ohh acha...??" moiz ne heeran ho k poocha.

" ji bilkul.. hum zara conventional se log hain na.. woi chae qawa......." abhi adhi baat mehru k mun men hi thi k Akbar khan tray le k aagaya.. " Sahab yeh ap ki coffee... sorry men aj thora late ho gaya..wo asal men...." 
"its ok Akbar khan.. thank you." moiz ne us ko roka. yeh pora khandan hi lambi tashreeh kerta tha aur in k mulazim b..

"ji kia keh rahi theen ap?" moiz ne muskurahat daba k us ko dekha..

" ji men yeh keh rahhi thi k ap hameesha subha jogging kerte hain?" woh b mehru thi.. foran pansa palat gai.
moiz zor se hansa... ussey mehr ki hazir jawabi pasand aii thi.

"ji bachpan se... men boarding men perta raha hun hamesha se. wahan to ik routine hoti hai.. ab to adat ho gai hai." moiz ne tafseel se us k sawal ka jawab dia.


" achaaaa.... to phir islamabad kaise ana huwa?" mehru ne casually pochte huwe tang k uper tang rakhi.

" taqdeer khainch lai." 
" haan woh to hai.. bohat dair se khainch k lai hai... hum to bht saalun se idher hi rehte hian ." mehru ne shararat se kaha.
" hahaha.. dair ayed , darust ayed." moiz ne kaha
"arey ap ko to urdu balkey farsi b ati hai." 
" Yale waloon ko urdu nahi ati kia?" moiz ne maxe se poocha to mehru haqeeqatan apni kursi se 2 foot uchli.
"YALE???? ap yale se perh k aye hain? wowww" mehru noor haveli ko bhool bhall k us se impress ho gai. Yale us ko bohat pasand tha. us ki building, mahol, mausam.. 
" haan..." moiz us ki excitement se mehzooz huwa.
" acha kaisa hai.. matlab maxa ata tha? perhai tough thi?"  
" campus to bohat khoobsurat hai.. perhai tough thi.." moiz ko samajh nhi aya k kaise describe kare ..
" great .. awesome..phr bad men ap canada chale gaye they? "
" haan.. phir job mil gai thi to wahan move ho gaya tha."
" achaaa...."
phir ik awkward si khamoshi aa gai ..
" chalien  men chalti hun.. mene university jana hai na." mehru ko apni university koi dhaba lag rahi thi us waqt yale k samne.
" ok.. yeh coffee le jao na." moiz ne us ka white mug us ki taraf bharhate huwe kaha.
" nahi.. yeh mene ap k liye hi banai thi.. pee lien.." mehru coffee peeti thi. likin wo nhi jo itni buri ho aur khud banai ho!
" sure.. thank you."
" ALLAH hafiz" mehr andar ki taraf chal di ..
" hey you.." moiz ki awaz sun k woh khttak k rukki .peeche mor k apni taraf ishara kia.. jaise poch ahi ho men?
" yes... meri dost bano g?"moiz ne us ko dkhte huwe kaha.
mehru ka dil kharab ho gaya. " akhir nikla na woh typical mard kia huwa jo yale se perh k aya hai."
" Nai, i dont talk to strangers!" nakhre se keh k woh andar bhag gai.
moiz us ko dekhta reh gaya. abhi to itni friendly thi aur ab yun jawab de gai hai..
 us ko sochte huwe moiz ne coffee ka cup mun se laga lia...

Tuesday, 5 March 2013

Teri meri anaa part 5

Recap:
Mehr ko zindagi achi lagti thi... " zindagi jeene men aur waqt guzarne men bohat farq hai beta!" woh aksar mod men aa k philosophy jharti. 
sab us ki khoob kit lagate they.. us ki ulti seedhi harqatun aur be tukkey adventures per.. likin bus mehr aaisi hi thi... Jab tak ussey moiz nahi mila tha.. woh aaisi hi thi.... 

Now read:
Woh khizaan ki ik aam si sham thi. Mehr shadeed boriyat ka shikar thi. 
"ALLAH kia boriyat hai... sab kider hain?" ik se dosre portion men woh ghoomti rahi.. magar siwae tai ami aur chachyun k koi na mila.. woh b apne apne kamoon men magan..
ghar aa kr us ne ik text likha aur tamam ghar waloon ko send ker dia.
nateeja yeh nikla k sham k 7 bajey tamam log, maltoon k sath taya abu k lounge men mojood they. iss dafa koi team nahi thi. taya aba aur mohsin chachu judge they.
"jiss ne ziada maltey khaye woh winner ho ga. simple" mehru ne game batai. us ko fruits bohat pasand they. us ka dil chata tha k khane ki jaga b koi fruit hi khati rahe.
sab gol daira bana k baith gaye aur darmiyan men maltoon ka pahar khara tha. asal muqabla mehru aur larkoon k darmiyan hi tha. baqi larkiyan to tameez se hi khati theen. 
adhe ghante baad, taya abu k lounge ka manzar dekhne wala tha. hasb e tawaqoo maidan men mehru hassan waleed aur usman reh gaye they.
Bari si chaddar pe ja baja matloon k chilkey parey they aur sath hi baij idher udher bikhrey parrey they. 
ik dosre ko harane k chakar , khoob badtameezi se ik dosre k hath se malte chente huwe woh khoob hans rahe they.
Iss shugal k mahol se taya aba log rukhsat le k study men chale gaye. khawateen b ik kone men najane kon sey mo'ozu pe guftagoo kerne lag gai theen.
Itne mien bahir bell ki awaz sunai di. Ali gate kholne gaya. baqi mahol per koi khas farq nhi parra tha.
1 minute baad Ali wapis aya to akela na tha.. us k hamra ik aur admi b tha... 
"Assalam o alikum" No-warid ne ooncha salam ker k sab ki tawaju khud pe mabzool karai.
aain us waqt jab mehru k sleeves uper ko charhey huwe they, kandhun tak atey baal poni men qaid kerne k bawajood samne se bahir nikal aye they aur maltoon ka raas us k hathun aur mun pe laga tha.. aur woh hassan se malta lete huwe betahasha hans rahi thi , us shaks ne us ko dekha tha.
sab per ik tahirana nazar daalte huwe, haqeeqatan us ki nazar mehr per aa k ruk gai thi. us ka qasoor nhi tha, mehr ka huliya hi aaisa tha.
sab se pehle chachi jan ko hosh aya. apni jaga se utheen " Walikum asalam. kaise ho beta? Moiz ho na?"

aur ohir ik ik ker k sab hi trance se bahir aye. 
"Moiz kon?"  mehr ne 4 , 5 dafa sab ka mun dekh k ik hi sawal kia likin kissi ne us ko jawab dene ki zehmat nhiki.
thori hi dair men Moiz ko taya aba k pass study men pohancha dia. tamam larke huliya darust ker k wahan hi jane lagey. 
ik halchal c mach gai thi ghar men...
"Ami..." mehr ne ami ko zor se pukara jo kitchen men jane laggi theen.
" mehru... jao ghar.. halaat thek karo apni. kia badatamezi ha?" ami n us ki sunne ki bajaye apni suna di..
"ami.. yeh kon admi hai?" us ne ami ki baat an sunni kerte huwe pocha.
" Moiz hai na" 
" Ami ... moiz koi asmaan se nhi utra na k mujhe us k barey men pata ho ga.. kon moiz bhai??" us ne jhunjhula k poocha.
" Noor haveli se aya hai." Ami ne aaista se kaha
"OOoooooooo" mehr ne lambi c O ki...
 "IN-TE-RES-TING!!!" us ka bohat purana tajasus jag gaya tha... Noor Haveli ka moima tha kia...

Mehr ko bohat jald pata chalne wala tha..

Yeh moiz se us ki pehli mulaqat thi...