Wednesday, 6 March 2013

teri meri anaa part 6

Recap:
"IN-TE-RES-TING!!!" us ka bohat purana tajasus jag gaya tha... Noor Haveli ka moima tha kia...

Mehr ko bohat jald pata chalne wala tha..

Yeh moiz se us ki pehli mulaqat thi...


Now read:


Moiz 1 hafta un k ghar men raha.. Taya abu ki study mien najane kia meeting hoti rehti thi... ami to aaise raaz rakhe baithi theen jaise Pakistan ki salmiat ka sawal ho.

larke b sanjeeda nazar aney laggey... larkiyun ko koi kuch batane ki zhmat nahi kerta tha.. likin baat khas thi.. itna to andaza ho hi gaya tha!
Mehru ne pehle kuch din to sabar kia likin phir ussy ik hi banda nazar aya jo us ko haqeeqat bata sakta tha..

Moiz roz subha jogging kerta tha, yeh to mehr ne dekh hi lia tha.. Hafte ki subha, coffee bana k mehr ne lawn ka rukh kia jahan moiz abhi abhi wapis lauta tha. Canada se aaya tha, yaqeenan us ko coffee achi lagti ho g...


"Assalam o alikum" Moiz sar jhukae apni sochoon men magan tha.. mehru ki awaz sun k chonka.. ankhien utha k us ko dekha jo hathun men safaid mug aur chehre pe ik bari si smile saja k khari thi.


"Walikum salam." moiz ne sanjedgi se jawab dia. likin ik dam se us ka us din wala huliya yaad aya to hansi aagai jissey woh bht maharat se chuppa gaya..

" yeh coffee... m sure ap ko coffee pasand ho g? hai na?" mehru coffee ka mug mazeed us ki taraf kerte huwe kaha, woh har haal men moiz se baat kerna chati thi.
" jii... pasand to hai." moiz ko us ki harqatien mashkook lag rahitheen.. pichle 5 din se siwae salam dua k us ka kissi b larki cousin se koi interaction nahi huwa tha. aur aj achanak is ko coffee ka khayal kaise aa gaya?
" ji mene b socha ap mehmaan hain.. asal men hamare ghar men to koi coffee peeta hi nahi hai. to iss liye men khudi le ai ap k liy" farate se jhoot boltey huwe mehru ki nazroon k samne kitchen cabinet men nescafe ki bottle ghoom rahi thi.. aur swedish coffee k woh dherun packs jo yousaf lala se us ne mangwae they farmaish ker ker k..

"ohh acha...??" moiz ne heeran ho k poocha.

" ji bilkul.. hum zara conventional se log hain na.. woi chae qawa......." abhi adhi baat mehru k mun men hi thi k Akbar khan tray le k aagaya.. " Sahab yeh ap ki coffee... sorry men aj thora late ho gaya..wo asal men...." 
"its ok Akbar khan.. thank you." moiz ne us ko roka. yeh pora khandan hi lambi tashreeh kerta tha aur in k mulazim b..

"ji kia keh rahi theen ap?" moiz ne muskurahat daba k us ko dekha..

" ji men yeh keh rahhi thi k ap hameesha subha jogging kerte hain?" woh b mehru thi.. foran pansa palat gai.
moiz zor se hansa... ussey mehr ki hazir jawabi pasand aii thi.

"ji bachpan se... men boarding men perta raha hun hamesha se. wahan to ik routine hoti hai.. ab to adat ho gai hai." moiz ne tafseel se us k sawal ka jawab dia.


" achaaaa.... to phir islamabad kaise ana huwa?" mehru ne casually pochte huwe tang k uper tang rakhi.

" taqdeer khainch lai." 
" haan woh to hai.. bohat dair se khainch k lai hai... hum to bht saalun se idher hi rehte hian ." mehru ne shararat se kaha.
" hahaha.. dair ayed , darust ayed." moiz ne kaha
"arey ap ko to urdu balkey farsi b ati hai." 
" Yale waloon ko urdu nahi ati kia?" moiz ne maxe se poocha to mehru haqeeqatan apni kursi se 2 foot uchli.
"YALE???? ap yale se perh k aye hain? wowww" mehru noor haveli ko bhool bhall k us se impress ho gai. Yale us ko bohat pasand tha. us ki building, mahol, mausam.. 
" haan..." moiz us ki excitement se mehzooz huwa.
" acha kaisa hai.. matlab maxa ata tha? perhai tough thi?"  
" campus to bohat khoobsurat hai.. perhai tough thi.." moiz ko samajh nhi aya k kaise describe kare ..
" great .. awesome..phr bad men ap canada chale gaye they? "
" haan.. phir job mil gai thi to wahan move ho gaya tha."
" achaaa...."
phir ik awkward si khamoshi aa gai ..
" chalien  men chalti hun.. mene university jana hai na." mehru ko apni university koi dhaba lag rahi thi us waqt yale k samne.
" ok.. yeh coffee le jao na." moiz ne us ka white mug us ki taraf bharhate huwe kaha.
" nahi.. yeh mene ap k liye hi banai thi.. pee lien.." mehru coffee peeti thi. likin wo nhi jo itni buri ho aur khud banai ho!
" sure.. thank you."
" ALLAH hafiz" mehr andar ki taraf chal di ..
" hey you.." moiz ki awaz sun k woh khttak k rukki .peeche mor k apni taraf ishara kia.. jaise poch ahi ho men?
" yes... meri dost bano g?"moiz ne us ko dkhte huwe kaha.
mehru ka dil kharab ho gaya. " akhir nikla na woh typical mard kia huwa jo yale se perh k aya hai."
" Nai, i dont talk to strangers!" nakhre se keh k woh andar bhag gai.
moiz us ko dekhta reh gaya. abhi to itni friendly thi aur ab yun jawab de gai hai..
 us ko sochte huwe moiz ne coffee ka cup mun se laga lia...

No comments:

Post a Comment