Monday, 8 April 2013

Teri meri anaa 11


RECAP:
mehru ne jaldi se ansoo ponchey aur kitchen k darwaze ki taraf barh gai.
andar dakhil hone se pehle us se murr k dekha to moiz abhi tak waheen khara us ko muskurati nazroon se dekh ra tha. 
mehru ko laga jaise 1000 watt ka bulb achanak 2000 watt ka ho gaya hai... 

Now Read:
Shadi kab khatam hoi aur kab woh log wapis aye, Mehru ko waqt guzarne ka pata hi nah chala. Ik hafte men Moiz us k liye bohat ahem ho gaya tha.
Bina appa bohat sweet theen. Although Mehru ne suna tha k woh Moiz ki step sister theen likin us ko aaisa kuch mehsus nahi huwa. Mehru ne ik dafa hi yeh baat ami se confirm kerne ki koshish ki thi aur jawabaan jin nazroon se ami ne us ko ghoora tha, wo mehru ko samjhane k liye kafi theen. 
waise b iss shadi k dauran sab log bohat qareeb aa gaye they. kabhi kabhi to mehr ko lagta tha jaise un k darmiyaan doriyan theen hi nahi. everything was almost perfect.
Moiz ki flyt 10 March ko thi. Us k jane se pehle,sab ne us ko farewell lunch dene ka faisla kia. Moiz ko Monal bohat pasand tha. Akhir men faisla yeh huwa k woh through track walk ker k Monal tak jaen gey. 
Us din subha se hi Islamabad ka mausam abar alood tha. likin kissi ka plan multavi kerne ka koi irada nahi tha. Track k shuru tak barish k imkanat zara kam hi they, unhien umeed thi k Monal tak to bakheriyat pohanch hi jaen gey.Mehru ko woh track bohat pasand tha. Khamoosh aur pursakoon. ird gird oonche oonche pahar aur gehre sabz pattun se dhakkey darakht. is sab k beech men jab kissi parinde ki awaz khamooshi ko torti to insan ka qudrat ki sa'nai per eman pukhta ho jata. Aram aram se chalte huwe Mehru apne ird gird men magaan thi. Us lamhe men ussey apne har ehsas ka poori tarhan se ehsas ho ra tha. bedhehani men woh moiz ko sochte huwe muskura rahi thi. 
"Agar woh aaisa chahe to bhalla kia rukawat hai. sab khush hoon gey. bohat khush hoon gey. mien sab se ziada khush hoon g." 

'MEHRUUUUU...taiz chalo na" hassan ki taiz awaz ne us ko chonkaya. 
"Hassan, i know this track. men aram se aa rahi hun na."
bachpan se woh log beshumar dafa is track per aa chukey they.. Monal nahi tha phir b Baba log yahan picnic key liye latey they.  
Abhi woh dobara apni sochun men magaan hone hi laggi thi k us ne Moiz ko apni taraf atey dekha. 
"kiun aaista chal rahi ho?" 
" bus aaise hi." us ne muskura k Moiz ko dekha. Dil to chaha k bata dey k kia kia soch rahi thi per thori bohat haya jo thi woh arey aa gai.
" chalo men b tumare sath aaista chalta hun." moiz ne dono hath apni jeans ki pocket men daale aur mehru k sath sath chalne laga.
blue jeans k sath dark blue sweater aur leather jacket men woh bohat handsome lag ra tha. Us k complexion k sath halki halki barhi hoi shave kitni suit ker rahi thi , shyd us ko khud b andaxa nahi tha. 
Mohabbat kitni ajeeb cheez hai. sari zindagi is track per chalte hue mehru ko kabhi yeh sab itna khas nahi laga. aj, iss lamhe men to is ki khubsurati men ik ajeeb nikhar aa gaya tha. har cheex nai lag rahi thi. rang, hawa, mausam... mehru ko laga jaise woh bus abhi pehle dafa hi yahan aai hai. Moiz ko bhi andaza nahi ho sakta tha k sirf ik us ka sath mehru ko kitni khushi dene laga tha. sirf us ka naam, us k hona, us ka mehru ko janna, un dono k be maani gugtagoo, aur yeh ehsas k moiz us ko sochta hai... 
Sath sath chalte huwe b dono khamoosh they. Kabhi koi waqt aaisa ata hai jab alfaz itne zarurai nahi hotey, khamooshi ziada qeemti hoti hai, woh bolti hai, wohi sunti hai.. insaan ka kaam bus wahan mojood hona hota hai.
"Mehru...?" moiz ne sawaliya andaaz men poocha.
"ji?" 
iss se pehle k moiz apni mukamal kerta ... tap tap tap... barish k motey motey qatrey asmaan se girne laggey. ik k baad... aur har second k sath taiz taiz taiz ..
"bhagoo......" moiz ne mehru ka hath aur track per bhagne laga.. barish k sath hawa chalne laggi to mausam ik dam bohat thanda ho gaya.. Kaley badaloon ne poora asmaan yun dhanp lia k din men b andhera ho gaya.. 
thori durr track ki side pe ik hut bana huwa tha... 
Baqi sab log najane kitne aagey nikal gaye they.
Mehru ne ankhien band keen.. woh bus moiz ka hath pakrey wahan jana chati thi jahan moiz le jata!

No comments:

Post a Comment