Thursday 25 April 2013

Teri meri anaa 12

Recap:
Baqi sab log najane kitne aagey nikal gaye they.
Mehru ne ankhien band keen.. woh bus moiz ka hath pakrey wahan jana chati thi jahan moiz le jata!

Now read:

Barish men bhagne se mehru k snickers,coat,baal sab geele ho gaye.. Hut k neeche aa k mehru ne apna coat jharra.. per jitna geela hona tha , wo chuka tha.. sardi ik dam barh gai thi, itni k mehru k nakhun neele ho gaye.. dono hathun ko apas men rgar ragar k mehru garam kerne ki koshish ker rahi thi.. Abi mehru koi aur tareeqa sochne wali thi k ik dam Moiz ne us k dono hathun ko apne hathun se dhanp lia.. Mehru ne heeran ho k us ko dekha..

" mere hath hameesha garam rehte hain na " Moiz ne us ko muskurati nazroon se dekhte huwe kaha,

Mehru ko samajh nhi aai kaise react karey.. Us ka dil itni zor se dharak raha tha jaise  abhi seene se bahir nikal aye ga.. sharam b aa rahi thi, yeh b lag ra tha jaise yeh ghalat hai likin phir b us ko laga k woh kabhi Moiz k hath se apna hath chura nahi paye g. Moiz sahi keh ra tha k us k haath garam they.. aur bohat ajeeb sa ehsaas de rahe they ussey.. tafuz ka, mohabbat ka, yaqeen ka...

Itni khamooshi thi un dono k darmiyaan k lagta tha jaise har cheex sans rokey khari hai… barish ki awaz saaz ki tarhan aa rahi thi.. ik rhythm mien,… tap tap tap….

“Shoots!” ik dam hi Moiz ne us k hath chor diye aur peeche mur k kuch talash kerne laga.. aur phir ik dam palaat k bahir lagey ik barey se darakht ki taraf challa gaya.. Mehru confused si us ko dekh rahi thi “yeh kerne kia cha ra hai?”

Moiz ne darakht se ik patta toraa aur wapis Mehru k pass aa k khara ho gaya.. mehru intezar ker rahi thi k moiz kuch bole ga.. yeh kia harqat hai ?
Likin Moiz kuch nahi bola.. kuch dair khara mehru ko aur pattey ko dekhta raha aur phir dono ghuthnun k baal baith gaya aur who haraa patta mehru ki taraf berhatey huwe bola  : “ bohat silly hai.. per marry me mehru”
“ What!??” yeh sab.. yun.. itni achanak.. aur achanak kia.. moiz is proposing!! Mehru ka mun khuley ka khula reh gaya..
“ m not asking you mehru, m begging you girl!” Aur Moiz ki ankhien.. ik intezar ka jahan tha us ki ankhoon mien aur bachun jaisi excitement,
Mehr ne seene men atki hoi sans li… us ka damagh samajh nhi paa rat ha.. yeh sab sach to nahi tha..
Koi khuwab tha kia.. per us ki ankh kiun nahi khul rahi thi…
Aur phir us ne Moiz k hath se who harraa pata le lia aur us ne khud kehte huwe suna
“ I’d love to!”

“Ah ha!!” us ka jawab suntey hi Moiz ik dam khara ho gaya… aur zor se hansa.. :” Thank you mehru.. thank you!” Pure American accent k sath who Mehru se izhar e mohabbat ker ra tha.. us ko bilkul andaza nahi tha k adhi batien Mehru k sar k upper se  guzar rahi hain..
“ I don’t know when I just fell completely in love with you. I never meant to , I swear but that just happened and Boy! Aint I glad? Haha.. U know I had no idea, this tour is going to change my world this much.  I never intended to fall In love.. I thought I was too practical for that and look at me now! M proposing the silliest girl on the planet in the most awkward way imaginable. I wish I could do it in a more sophisticated manner. Take you out to dinner or something but this is very interesting too.. “
  Mehru ki angraizi aur confidence to bus us ik jumle k sath khatam ho gaya tha is liye who sirf chup chap Moiz ko sun rahi thi..
Yeh Moiz Azam tha. Us ka Yale se perha huwa cousin jiss k barey men sab ko lagta tha k who bht sakht mizaj hai. Bohat attitude wala hai. Khud ko kuch samajhta hai…

“I will make sure you stay happy with me,.. I mean I promise”
Mehru muskura di..

Aur phr jab tak barish nhi rukki aur who log track complete ker k upper nahi challey gaye Mehru , moiz ko sunti rahi.. Shukar hai us ka josh thora thanda perh gaya tha.. aur who normal baatien ker raha tha.. Mehru b aam se andaz men jawab de rahi thi.. who nhi chati thi k kissi ko zara sa b shak ho k huwa kia hai…
Aur who is sab mien kamyaab b ho gaye they..

Who din mehru k liye bohat khas tha, be inteha ahem.. shyd us ki zindagi men aney wale sab dinoon mien sab se ziada khushi wala.. sab se ziada unexpected khushi wala.. Mehru ko lag raha tha k us k qadam zameen pe hi per rahe .. wo waqai badaloon mien thi.. Cloud no. 9!
Agle din Moiz ki flight thi.. Zindagi mien pehli dafa mehru ne poori raat rootey huwe guzari thi..
Who harra pata mehru ne apni diary men saja rakha tha..
Log rings aur pholoon ko zarya banatey they , mehru k liye who patta Moiz k pyar ki nishani tha… bohat hi aam c cheex, jis ko Moiz k jazbaat ne, us ki mohabbat ne , us k ehsas ne anmol ker dia tha.. mehru ki tarhan..
Moiz se milne k baad, mehru ki zindagi men bohat tabdeeli ai thi.. us ko laga jaise pehle who ‘sleeping beauty’ thi.. aur ab ik shehzade k chu lene se zinda ho gai hai.. Aj se pehle zindagi kia thi? Mehru ko yaad nhi aya k is se pehle us ki zindagi ka maqsad kia tha… balkey us ki zindagi mien tha hi kia…

No comments:

Post a Comment