Saturday, 29 December 2012

mohabbat...


“Khushfehmi kitni achi cheex hai na ami” apne bed pe laity laity najane kitna waqt beet gaya tha. Maazi k dareeche thy k band hone men nhi aa rahe they.. ik  k bad ik dar…

‘mat socho itna’ ami ne bebasi se us ko dkha…
oolad b kitni ajeeb cheez hai, kitni b na farman ho per jab nadamat se sar jhukati hai to dil se har dua le jati hai .. na khafgi rehti ha na ghuusa , na ana..
‘na soch zainy.. tum to meri shehzadi baiti ho.. meri rani ho’ maa ne us ka matha chooma, us k hath ko pyar kia…
‘na sochoon ami? Kaise na sochun .. ami raani aaisi hoti  hai? Woh to raj kerti hai.. men to  khak hun..’

Dono hathun men sar pakar k who rone laggi.. har roz ki tarhan.. yun jaise log kissi k marne pe rotey hain, waise zainy ron laggi.. apne app pe..

‘ jo dil men hai bol de zainy, jo b hai bol de…’ bechain ho k ami ne kaha..

‘ami’ achanak woh bister se utar k un k qadmoon men aa baithi.
‘ jo dil men hai wo keh doon g to sab sawal Karien gey.. jawab nhi hai ami mere pass.. bohat se sawal hi  hain..’

‘nahi karoon g koi sawal.. kuch nhi poochun g ..’

‘ abhi to raat ka andhera sab chupa leta hai ami.. ik bar keh dia to koi b chey dhanp nhi sakkey g mujhe… insane k raaz us k libas ki tarhan hotey hain ami.. raazun ko chuppey rhna chae’

‘men maa hun na tumari… mujhse chupa k kia karo g? yeh raat jo tumara dukh chupati hai, who mera dard bharhati hai.. zainy tu nhi soye g to maa kaise soey g?’

‘ami’ sar un ki godd men rakh k us ne pukara..to jawab men ik mehrban hath us k sar pe thehr gaya.

‘dunia men aap se agey kuch nhi tha aur kabhi ho ga b nhi… likin men kia karoon ami, who mere dil se nikalta nhi hai.. mene bohat koshish ki.. ami fasla itna hai hamare darmiyan k shyd umer bhar b chaloon to 2 koss hi teh ker paun.. phir b, woh hai k mujhe bhoolta hi  nhi hai..’

‘ami men us se baat nhi kerti.. aur who nhi janta k zainy b koi larki hai.. ami mujhe lagta hai jaise ALLAh ne mujh saza di hai..’

‘aaise kaise ho sakta hai ami.. kaise koi insaan itna acha lagta hai k us ki ik nazar dunia sanwarne ko kafi ho jati hai.. kaise ik shahks ki aahat k liye har lamha koi muntazir reh sakta hai… kiun ami?.. kia khass baat hai us men?’

‘ami mohabbat aaisi hoti hai ? jo insaan ko aarsh se farsh pe le aaye?.. shah ko faker kr de?  Yeh to saza hai, bad dua hai.. buri nazar hai.. saaya hai…’

‘ami kiun ho ra hai aaisa.. men itni dua kerti hun k who mere dil se nikal jaye.. men ik roz uthun to us ka koi nishan na ho us ka meri zindagi men.. jaise who hai hi nhi.. kabhi tha hi nahi…’

‘zaini…..’ bohat sara roo chukne k baad who chup hoi to ami ne kaha..

‘zaini yeh jo mohabbat hai na.. yeh bohat ajeeb cheex hai.. insaan is ko mazak samajhta hai.. koi aam sa jazba samajhta hai.. likin aaisa nhi hai… yeh mohabbat ALLAH ne bht soch k insaan ko ata ki hai.. aur is men insane ki baqa ko chupaya hai..
Farishte mohabbat nhi kerte zaini.. insaan ko khas banaya mohabbat ki waja se…
Allah ne insaan ko mitti se banaya hai .. us ka khamer us cheez se banaya hai jis ko hum haqeer khte hain… paoon men rondhte hain..
khameer ki taraf wapsi ka safar mien mohabbat pehla qadam hai.. insaan ki ego ko mar deti hai yeh
.. janti ho ego kia chez hai? Insaan ko paoon pe khara rakhti hai, sar uthati hai insaan ka, akaar k chalati hai, hukam dena sikhati hai.. aur jab ego mar jati hai na to insaan khak ho jata hai …
aur khak ko ALLAH k siwa kuch yaad nhi ata zaini..

yeh mohabbat jo tumien rulati hai , jagati hai.. is ko ALLAH  ka inaam samjho.. yeh wapsi ka safar hai zaini..
mujhe bura lagna chae na k meri itni pyari beti kissi bande k ishq men apna haal bighar rahi hai? Mujhe lag raha hai bura zaini… likin men janti hun tumien..
mene tumara naam zainab rakha hai… aur tum kaisi ho, yeh tumari paishani pe likha hai…mujhe ya kissi ko bhi certificate nhi chae..

Zaini, ik din jab tum utho g to waqai tumara dil khali ho ga..
Tum safar men us maqam pe ho g jahan us k baad tumien mohabbat k liye behtar hasti mil jaye g.. tum mohabbat k baad ishq k safar k qabil ho jao g.
Zaini, ALLAH tumien ishq k adaab sikha raha hai… aaise to nhi mil jatii koi cheex..
Abhi wohh iss dil ko mohabbat dy ga, dard dy ga.. iss dil se dunia nikale ga.. phir ishq ki bari aye g beta..

Abi tum safar men ho…
Who shaks kuch nhi hai… bus ik imtehan hai…’


10 saal … ami ap ne theek kaha tha… who shaks kuch nhi tha.. mere safar ka pehla paraoo tha..
Aaj b jab men dua k liye hath uthati hun to us ka naam zaror lti hun. K Mera us se ajeb  taluq tha..
ALLAH ne mujhe bht kuch dia hai .. aur sab se bara karam yeh k us ko mere dil se nikala nhi.. us ko dil men rehne dia aur sakoon de dia..

Ishq beshak sirf ALLAH ka haq hai.. aur mohabbat pe bandoon ka haq hai..
Bande ki bande se mohabat kuch nhi beshak… yeh neeyat hai jo pehla qadam utha lene se maar jane tak har kam snwarti hai…
Farsh se arsh tak le jati hai.. koi ehsas kuch nhi neeyat k baghair..
Khas torr se mohabbat… jis men paa lena ahem nhi hai.. kho jana nuqsaan nhi hai.. jis men koi b chez aam nhi hai.. jis men har kam ghaibi hai.. aur ghaib bus neeyat dekhta hai…




No comments:

Post a Comment