Friday, 31 May 2013

Teri meri ana 20

Canada aa k bhi us ka dil kissi kam mien nahi laga .. likin jo shadeed mayoosi ki leyar thi, us en shigaf perne laga tha.. Moiz ko ehsas huwa k maazi per us ka ikhtiya nahi hai likin wo mehru per se apna haq kiun chor raha hai? us ko mehr k liye larna chae. Beshak us k aur Azam sahab k taluqat pehle se na rahe they, aur Canada aaney k baad us ne un ki ik bhi call receive nahi ki thi phir bhi Mehru k mamle men woh un se akhri dafa baat kerne pe tayar ho gaya tha. Us ko is tanhai  men pehle se zaida shidat se mehru ki yaad aa rahi thi. us ka dil cha k us ka number dial ker k dekhe.. wo yaqeenan us ki call ki muntazir ho g.. us ko apna wadaa bhi yaad aya.
"M going to talk to Baba about us."

"i wont give up on her!" us ne dil men socha aur phone utha k call milane laga.

"Hello."  us ki Ama ne phone uthaya. Ik lamhe ko us ka dil chaha k phone kat dey.. phir dil hi dil men apni himat bandhai. " bus ik baar Mehru wali baatho jaye. phir us ka rasta apna, hamara apna"

"Ama men MoiZ .."
"Moiz.... " us ki awaz sun ker hi woh roney lagieen.." kaise ho tum? phone bhi nahi uthaya.. hum pareshan they Moiz.. men bhi aur tumare Baba... bhi"  Baba kehte kehte wo zara hitchkichaen.

"Ama... mera ik kam karien?"
"bol mera putter"
"unhien manaen Mehru k liye.. kissi bhi tarhan" woh Azam khan k liye Baba ka lafz istamal na ker sakka.
" Moiz putter, chor de us ko.."
"Ama.. ap samajhti kiun nahi hain? men bacha hun kia chota?? an perh , jahil hun? berozgar hun? dunia nhi dekhi kia mene? Phir bhi , kissi ganwar ki tarhan behave ker raha hun.. shadi ki ijazat mang k.. what bullshit? Bata dien ap un koja k shadi men Mehru se karun ga aur men dekhta hun k mujhe kon rokta hai.. ap log behsak meri shakal na dekhien, balke men ap logoon se nahimiloon ga zindagi bhar.. Ama pehle wo mohabbatthi, ab zid hai... Khan hun na men b phir.."
ghussey men us k mun men jo aa ra tha wo bole ja raha tha. Abhi aur bohat kuch kehna chata tha likin ik sard c awaz ne us ko rok dia.
"Tum ne apni zid na chori to tum apna kuch nahi nuqsan nahi karo gey Moiz khan, likin Mehru k sath jo men kerun ga us k liye tum khud ko maaf bhi nahi ker sakko gey. Chahe tum ussey le k kahien bhi chale jao.. Yaad rakhna men tumara Baap hun!"
phone men se ab tone ki awaz aa rahi thi.. Moiz gang baitha tha... Koi iss had tak bhi ja sakta hai.. Mehru un k khandan ki beti thi likin us ko tabah kerna jaise koi baat hi nahi thi. Saari zindagi US, Canada men rehne wala waqai Pakistan k wehsi ma'ashrey ko nhi pehchan sakta tha. Woh jo humanity, equality, love and peace ka sabaq perta raha tha us ko inteqam, anaa aur nafrat ki andher nagri men rasta nahi milna tha.

Mathey pe chamaktey paseene k qatre us ne sleeves saaf kiye. Pehli dafa sahi ma'nun men us ko Mehruki fikar hoi.. Agr wo mehr ko nahi chorey ga , wo waqai us ka baap mehr se inteqam le ga.. Moiz ko yaqeen tha k aaisa kerna un k liye kuch mushkil nhi hai. Yeh khayal hi k mehr k sath kia kuch ho sakta tha, Moiz ka dil dehlane ko kaffi tha...

_________________________________________________________________________

"Mia, mien Moiz ko phone ker loon?" Mehru bechain thi... Moiz koi bhi baatkiye baghair kaise wapis Canada chala gaya?
"Nahi...." Magzine perhte huwe Mia ne jawab dia.
"kiun nahi ??"
"Mehru, us ne nahi kia matlab he doesnt care. to tum bhi na karo."
"Aisa nahi hai Mehru, i know he cares.. i know tumien nahi samajh aaye g per woh bohat different hai."
"Mehru please!!| Mia ne ghusse se magzine band kia. " yeh khushfehmi sab larkiyun ko hoti hai k jiss se un ko pyar hota hai wo koi greek god hota hai. sab ik jaise hote hain. time pass."
Iss qadar sakht alfaaz pe mehru ki ankhoon men ansooo aa gaye aur wo chehra dono hathun men chupa k sisakne laggi.
"Beshak aaisa hi ho per wo ik baar apne mun se keh dey ga to men khud us se baat nahi karoon g, i promise. bus mujhe ik baar pata chal jaye .."
Mia ko us pe tars aya. woh aaisi to nahi thi..
"Acha roo mat tum call ker lo."
Mia janti thi k pichla poora mahina us pe bohat bharri guzra hai. kissi pal ussey chain nahi aa raha tha. Har awaz pe ussey Moiz k phone ka gumaan hota tha likin us ka intezar , intezar hi raha.
Mia ki awaz sun k us ne jaldi se ansoo ponchey aur call milane laggi.. 1, 2 , 3 baar try kia likin Moiz ne phone nahi uthaya.. us ne msg kia , shyd soo raha ho ga ya kahien busy ho ga...

Agle kai din tak wo waqfey waqfey se Moiz ka number try kerti rahi.. na to us ne us ki call receive ki, na msg ka jawab dia aur na hi call back ki... Mehru ko yaqeen nahi a ra tha k wo jitni timepass, flirt aur 'just for fun' wali baatien sunti thi, ab yeh sab us k sath ho raha tha.. Us ko apna app 'used' mehsus huwa... bohat girra huwa, bewukat!
us ka kissi cheez pe bus nahi chal raha tha siwae apne app k.. aur Mehru apne ap se nafrat ker rahhi thi.. behad, betahasha!

Teri meri ana 19

Murtaza ne gaoon se anay k baad , hazarun qasmien khaen k wo beqasur hai.. woh kaise mustafa ko mar sakta hai.. koi us ki baat sunney ko tayaar na tha.. wo rota raha ..bilakhir ik roz apni maa ka hath pakra aur Abba k kamre men challa aya..
" Aba ji, yeh meri saggi maa hai.. men iss k sar ki qasm kha k kehta hun men ne Mustafa ko nahi qatl kia.." aur phir wo rehl men rakha Quran utha laya " aur yeh ALLAH ka pak kalam hai, men iss ki qasm kha k kehta hun k men begunnah hun. aur men jhoot boloon, to mujhe dunia o akhrat men kahien jaga na milley"

Woh yeh sab na bhi kehta tabbhi sab ko us ki begunahi ka yaqeen tha , wagarna kiun apni matti chor k woh yeh jilawatni qabool kerte. Wo jante they k kiss ko zameen ki haws ne itna andha ker dia tha k woh saggey bhai ka khoon kerwane se bhi baaz nahiraha.. likin unhun ne ye mamla Allah per chor dia tha.Unhien yehi behtar laga k apni oolad ki jaan bacha k wo gaoon se nikal aaen.

________________________________________________________________________________

Iss sab baat k doran Moiz sar jhukaye baitha raha..ansoo us ki ankhon se tapakte rahe.. ankhoon ki lali aur dil ka bojh kuch aur barh gaya tha.. ussey is bat se koi garz nahi thi k us k baap ko kiss ne mara tha, ussey bus yeh pata tha k khasara us ka huwa hai.. paida hone se pehle hi woh apne baap ko kho chuka tha.. us ko samajh nhi aai k us ko us shaks k kitna rona chae jiss ko us ne kabhi dekha nahi , mehsus nahi kia.. jis ko wo janta hi na tha aur aj se pehle tak woh woh jiss k honey , ya na hone se beperwa tha...
aur phir itne saalun baad ik dafa phir iss anaa ki jung men wohi haar raha tha..Mehru ko wo chahta tha likin yeh wo log nahi hone dien gey.. woh log jin k liye us ki koi ehmiyat nahi thi, jin k liye un ki anaa aur us ki jeet eham thi... unhien farq nahi perta tha k woh Mehru se shadi kerta hai ya nahi.. wo Mehru  se pyar kerta ha ya nahi...un k liye shadi k liye yeh mohabaat koi zaruri juzv nahi tha.. shadi kissi se bhi ho sakti hai... zindagi hi to guzarni hai..

_________________________________________________________________________________

Pora din bahir guzarne k baad, Moiz raat 1 bajey ghar ayyaa.. Us ko theek thaak dekh k us ki maa ne shukar ka kalma perha.. likin moiz ko filhaal kuch mehsus nahi ho raha tha.. haan usey tars aa raha tha apni maa pe jo bechari bekhabri men kissi sazish ka shikar hoi thi likin us k jazbaat itne mutazaad they k wo chak bhi unse hamdardi nahi kr sakaa.
chup chaap packing kerta raha ...wo jald az jalz iss jaga se wapis jana chata tha.. ussey wehshat ho rahi thi .. ussey laga agar woh ik din bhi yahan aur rukka to us ka dam ghutt jaye ga!
tamam waqt ussey mehru ka khayal aata raha .. us ko phone kerna chae.. us se baat kerni xhae, us ko batana chae.. she deserves to know, likin moiz k andar ik ounce bhi himat nahi thi k wo mehru ko ik lafz bhi bata pata.. us ne apne zehn se har khayal jhatak dia.. us mazeeeed kissi taklef bardasht kerne ka mutamil nahi ho sakta tha.
agle din 11 bajey ki flight se woh wapis canada chala gaya.
_________________________________________________________________________________


Teri meri ana 18


Now read:

Woh Garmiyun ki ik tapti dopeher thi.. poora gaoon sunsan para tha. Suraaj aag barsa raha tha, piyasi zameen sulag rahi thi.. dhoop ki shidat se ghabra k insan to insaan charind parind bhi apne maskanoon men chuppey baithey they...
Aise men 2 nau-umer larkey garmi se beniaz, ik darakht k neeche baithey baatien ker rahe they. Chaudary Hashim ki oolad men se bus yeh 2 larkey they jin ki badolat poorey gaoon men ronaq thi. In ki har ik se banti thi, har baat ka inhien maloom hota tha.. Saggey bhai na hotey huwe bhi un ki mohabbat misalai thi. Koi un ko cousins kehta to foran us ko darust kerte they " Cousin nai, bhai hain hum!"
Saaf dil, Saaf neeyat k sath har waqt logoon ki madad ko tayaar ye na sirf apne khandaan men pasandeeda they balkey har koi in se ik c mohabbat kerta tha.

"Murtaza aur Mustafa to mere khandaan ki shaan hain" Chaudary Hashim un ko dekh k fakhar se kehte..
Waqt guzarta gaya aur dono gaoon k school se matric ker k college mien admission lene lagey.Mustafa bohat liaq tha, us ne engineer banana tha jabkey Murtaza bus wajbi sa tha perhai men. lihaza Mustafa Lahore perhne chala aya aur Murtaza ne gaoon ke college men dakhla le lia. 
2nd year k exams k baad mustafa ne engineering college men admission lia jab key murtaza ne BA kerne ka irada kia. Murtaza ka taleem ki taraf  koi rujhan na tha.. us ko bus apni zameenien pasand theen, us ne gaoon ka chaudary banana tha.

Mustafa university k dosre saal men tha k ik sham, jab woh gaoon aya huwa tha , us ki ama ne us k rishte ki baat chair di. 
" Amma kaisi baatien ker rahi hain?" abhi adhi baat amaa k mun men hi thi k mustafa sun k uchal para.
"aye haye... aaisa kia keh dia mene. umer hai ab tumari."  amma bura maan gaen.
" kon c umer????" mustafaka mun khule ka khula reh gaya.
" bus mene dekh li hai larki..." 
aur phir mustafa ne bohat na na ki.. apni perhai ka bahana banaya,mohlat mangi likin jab wo 2nd year k paper de k aya to us ki baraat tayaar kharri thi.
Murtaza ki khushiyaan dekhne wali theen.. har ik kaam us ne apne haathun se kia tha... aur us ki baraat k agey agey bhangrey daalta huwa wo beinteha khush tha.

6 months later:
" mustafa aya hai.. tum se nahi mila" ik sham jab murtaza ghar wapis aya zameenun se to us k barey bhai ne kaha.
" Nai,,, kab aya.. mujhe nahi mila." chapliyan utarte huwe us ne kaha.
ik, do ghantey baad zara sham dhalli to wo mustafa se milne ghar gaya to wo dhere pe gaya hwa tha. murtaza us k peeche peeche wahan gaya.
Abhi wo morr pe tha k usne dhere k darwaze se kareem ko nikalte dekha. Kareem un k gaoon k kamiun men se tha. likin us ki ooqat na thi k mustafa k dhere pe ata. issi baat ko sochte huwe murtaza dhere pe aya. andar dakhil hotey huwe us ne dekha mustafa wahaan sar jhulaye  baitha hai.. us ki amaad pe bus ankhien utha k ussey dekha. murtaza ko hairat hoi.
" oh yaar banda apne aaney ki khabar to kerta hai." garamjoshi se mustafa ki taraf bharte huwe murtaza ne kaha.
" takkey tum pehle hi hoshiyar ho jao?" mustafa ne ajeeb lehjey men kaha to murtaza khtak k ruk gaya.
" kia matlab?"
" men tujhe bhai samajhta tha kameene .. tujhe sharam nahi aati murtaza? ik khoon hai hamara.. ussi ka lihaz ker leta!" ik dam hi mustafa phatt para.
" kia keh ra haitu? hosh men hai?" 
" saanp jaisi fitrat hai teri... ghatya hai tu! mera bus nahi chal ra tujhe jaan se maar doon men!" mustafa ka ghusa kisi torr qabu men na  aa raha tha!
"mustafa soch k bol.. huwa kia hai.. mujhe bata.. aur yeh kareem yahan kia ker rha tha?" murtaza ko yaqeen tha k koi ghalat fehmi hoi hai.. per kia?
" mujhe to zabaan pe wo baat laatey huwe bhi sharam aa rahi hai... tu ne zameen k hisaab men garbar ki.. chal maan lia, tujhe lalach ho g... " mustafa ki baatun k doraan murtaza k chehre ka rang badalta ja raha tha..
" per tu suraiyaa pe buri nazar rakhta hai?? bhabi hai teri woh... ghatyaaa... zaleeel .." Yeh sunne ki dair thi k murtaza ka sabarka paimana labraiz ho gaya.. agey bhar k mustafa k mun pe ik mukka jharte huwe wo cheekha.." bakwas band ker.!! men tera lihaz ker raha tha .. aur tujhe koi lihaz hi nahi .. mera na sahi apni biwi ka to lihaz ker.. beghairat hai tu kameene! " 
aur phir tamasha itna bharha k poorey gaoon men baat phail gai...
Dono k ghar waloon ne bohat samjhane bujhane ki koshish likin ow dono to ik dosre ki shakal dekhne k bhi rawadaar na they.. Ab un k Dada ji zinda na they k kamre men bulwa k un ki sulah kerwa dete.. acha tha k woh zinda nahi they, warna yeh sun k mar jatey!

Ik hafta yun hi guzra... mustafa ko lagta tha k us k seene men aag bharak rahi hai... us k sab yaar dost us ko beghairti ka tanaa dete they.. kareem ka kehna tha k us ki biwi ne apni ankhoon ko murtaza ko dekha ha choti bibi k kamre tak jatey huwe.. Suraiya ki lakhoon qasmoon pe bhi mustafa ko yaqeen na aya , na murtaza ki bachpan ki dosti us ka ehtamad bhahal ker sakki!
inteqam ki aag thi jo us n andar bharak rahi thi.

Bilakhir ik din us ne murtaza se baat kerne ka faisla ker lia... sham k waqt murtaza mughabiyun ka shikar kerne jheel pe aya tha.. abhi us ne nishana bandha hi tha k us ko apne peche qadmoon ki awaz ai. us ne peeche murr k dekha to mustafa khara tha.. us ne baat kiye baghair samne dekh k goli chala di.
Goli ki awaz sun k saari murghabiyaan shor kerti urr gaen.
jab murtaza ko ehsas huwa k mustafa abhi tak wahan mojood hai to wo wahaan se jaane laga. 
" tujhse baat kerni hai mujhe!" mustafa ne awaaz lagai.
"dafa ho ja yahan se mustafa.. mere samne na aa!"
" kiun? gunna kia hai to eitaraf bhi ker na"
mustafa ki baat sun ker murtaza ko laga jaise ghusse ka ik atishfishan hai jo us k andar ubal raha hai.. aur bahir nikalne ko betaab hai..
" ab agar tu mere samne aaya mustafa to khuda ki qasam men tujhe golli maar doon g!" us ne belt se pistol nikala aur us ka rukh mustafa ki taraf kerte huwe kaha,
" baad men kiun? abhi yeh faisla hona chae na!" mustafa us ki taraf bharte huwe bola!
"ya tu rahe ga ya men.. " musatafa k pass koi hathyar nahi tha.. woh ne aagey barh k murtaza k hath se pistol cheene ki koshish ki... issi larai issi kashmakash men , jab k pistol murtaza k hath men hi tha, goli chal gai..murtaza ko yun mehsus huwa jaise kissi ne jalta huwa angara us ki taang pe rakh dia hai.
pistol pe us ki giraft bhi dheeli perh gai!
Neeche girte huwe us ne mustafa ko dekha jo us ki taang aur us se behte betahasha khoon ko dekh raha tha , ankhien band hone se pehle us ne apne bohat qareeb ik aur goli ki awaz sunni ..aur mustafa k safaid kurte ko samne se laho rang hotey dekha!

Najane wo kitni dair baad hosh men aaya tha aur kahan tha..ussey yaad nhi aa raha tha k kia huwa hai...us ne uthne ki koshish ki magar us ka sar bharri ho raha tha aur taangun men jaan nahi thi jaise.. kuch dair baad woh phir soo gaya...

"Mustafa ko qatal ker dia hai!" yeh khabar jungle ki aag ki tarhan poore gaoon men phail gai aur haveli men to kohram mach gaya khas torr pe jab pata chala k qatil koi aur nahi us ka apna chachazad bhai, us ka dost Murtaza hai...
kissi ko yaqeen na aata tha... aur phir tarhan tarhan ki baatien..
murtaza aur mustafa ki larai, us ki waja.. aur najanae kia kia... batien kerne waloon ne moqa ka khoob faida uthaya.. 
Haveli wale gham se nidhal se.. samajh na aati k baithey bithye yeh kiss kinazar kha gai un k ghar ko...

Har kissi ko itna yaqeen tha k qatl Murtaza ne kia hai , kissi ne koi tafteesh bhi na kerwai... un k khandaan ka naam kachaiyun ne rulley , un men se kissi ko manzor na tha.. murtaza k baap bhai to aankh uthane k qabil na they.. un hun ne mustafa k abba k ghar jak un k paoon men apni pagri rakh di k jo app saza dien gey wo manzoor hai humien...
Mustafa k barey bhai ne kaha k hum mustafa k baad kissi ko nahi khona chate ..ap apni zameenon ka 60% diyat men dien aur gaoon chor dien.. Noor haveli seap ka koi taluqna ho ga, bashart ye k hum koi taluq rakhien...

Taqreeban ik maheena laga in mamlaat ko nibtane men.. aur ik mah baad, wo gaoon chor k aa gaye.. aur us din k baad unhun ne kabhi gaoon ki taraf palatne ki  koshish nhi ki.. bus yeh maloom huwa k mustafa k ghar baita huwa hai, Moiz aur  surraiya ki shadi unhun ne Mustafa k barey bhai se ker di jin ki ik beti thi aur pehli biwi wafaat paa chuki thi..








Thursday, 23 May 2013

Teri meri Anaa 17

Recap:
 Ik lamhe men jab koi ap se ap ki shanakht, ap ka waqar, ap ka naam cheen le to insaan ko kia kerna chae... 18 kharab ki abaadi wali iss dunia men ik dam woh Moiz Azam se Nobody ho gaya tha.

Now read:
saari raat woh janey anjanae raastun pe phirta raha.. cigarette pe cigarette sulghatey huwe woh cigarette k sath sath jal raha tha... ankhoon men pani, khuda jane tapash thi, jalan thi ya sirf dukh tha... Chalte chalte woh thak gaya to ik bench pe baith gaya.. ghup andhere men dur jalti street light mahol ko pur-israr bana rahi thi. Us k ilawa koi nafs mojood nahi tha... itni khamooshi thi k us ko apne dil ki ik ik dharkan sunai de rahi thi.. us ko hairat ho rahi thi apne zabt aur hosle per.. adha ghantey k andar ander us ki poori zindagi ka matlab badal gaya aur woh ab tak apni aqal apna fehm sath liye bhatak raha tha... Us ka dil chaha wo zor zor se chilaye... sakoon se sooti dunia ko jagaye aur bataye k woh kitne karb men hai... us ka dil chaha k woh bachoon ki tarhan phoot phoot k rooye.... kissi se jhagra karey, aag laga dey, tabah ker dey sab kuch.. likin wo us bench per baitha raha... surkh ankhoon, , bikhrey baalun aur sulagte cigarette k sath.. mehr ba lab....

Us ko Mehr ka kahayal aney laga... wo kaise chorey ga ussey, kaisey bhooley ga... Abhi se pehle us ko mehr se mohabbat thi shyd likin ab us ko kho dene k ehsas ne achanak us k jazbey ki shidaat men izafa ker dia tha.. us ko mehr se ishq ho gaya tha,.. Jo guzar gaya us pe kissi ka ikhtiyar nhi likin Mehr ko woh nahi chor sakta tha,.. ussey mehr chaye thi....  har haal men.. us ko laga k woh waqai mar jaye ga mehr k baghair.. 

Ik dam perfect plan yun ulat palat ho gaya tha k Moiz ko samajh nahi aa rahi thi k iss uljhi hoi dorr ka sira ab kahan se pakrey..
Suraaj taluh huwa to wo uth k chalne laga.. is dafa us ko maloom tha k woh kahan ja raha hai... Us ka huliya kissi tabah shuda admi se kam nahi tha, likin iss waqt Moiz ko perwa nahi thi. . woh jo hamesha apne kaprun ka bohat khayal rakhta tha, aj masley huwe kaprun men, har cheez se beniaz challa ja raha tha..
__________________________________________________________

Murtaza Sahab office men dakhil huwe to 9:30 ho rahe they. Ajj Mehru ki Van nahi aai thi aur us ko jaldi university jana tha, us ko drop kertey huwe wo late ho gaye they. gaari se utarte huwe, Mehru ne jaldi se ko galley laga k kaha : thank you Baba, you are the best." to us k andaaz pe woh hans diye." jaldi jaen Mehr Murtaza, you are getting late."
Ass pass se guzarte huwe har bande k salam ka khushdilli se jawab dete huwe woh apne room ki taraf ja rahe they.
 Un ko dekh  un ki secretary  khari hoi :" Assalam o alikum sir, someone is waiting for you sir."
Unhun ne apni wrist watch dekhi.: " so early? did he say what his name is?"
"No sir," secretary ne kaha." He says its personal and urgent."
Murtaza shab ko thori hairat hoi.." ok , i will see him"

Secretary k pass se office anney tak un k wehm o guman men bhi nahi tha k woh Moiz se milne waley hain.. wo bhi is huliye mien... iss buri halaat men..
woh un k office k bahir rakhey sofey pe baitha tha... Surkh ankhien ratjagey aur us ki zehni halaat ka pata dey rahhi theen.
:Moiz?" unhun ne us ko pukara jo samney painting pe nazrien jamaye apni soch men gum tha..un ki awaz sun k chonk gaya.
"kheriyat to hai? andar aoo.."
woh chup chaap uth k un k peeche office men aa gaya. darwaza band ker k unhun ne intercom utha k secretary ko hidayat di.. woh filhal kissi se nahi mil saktey they. 


_________________________________________________

Ik dam hi us office men us sakhs k samne kharey ho k Moiz ko nafrat mehsus hoi.. behad, behisab nafrat.. un k chehre se, un ki zindagi se, un k hone se... us ka dil chaha k us ofice men parri ik ik cheez ko apney hath se tabah kare, torr dey, phaar de, jala dey...  us ko rona ayaa... apni bebasii pe.. aur ghussa aya apni taleem pe .. kaash wo koi ganwar hota jo ye sab ker guzarta ..na sochta kuch bhi, kissi ka bhi.. anjaam ki perwa na kerta.. bus badla leta...
___________________________________________________

Moiz k chehrey ki rangaat jiss taizi se badli thi, Murtaza sahab jaan gaye they k Jo bhi ha , woh bohat bheyanak hai... un ko samajh nahi aai k un ko Moiz se poochna chaye ya intezar kerna chae k woh khud kuch boley...

boaht dair intezzar k baad jab unhien laga k Moiz kuch nahi kahe ga to unhun ne narmi se us ka naam pukara: " Moiz!"
Aur aain ussi waqt Moiz un ki table pe dono hath rakh k thora agey ho k,laal angara ankhoon aur  zehreele lehjey men bola: " why did you kill my father?"

Murtaza sahab ko laga asmaan un k sar pe aa gira hai !!


Wednesday, 15 May 2013

Teri meri anaa 16

Recap:
"Baba .. i dont understand.. is it a joke or something?" Moiz heeran sa kehne laga..
"Moiz mujhse behas mat karo!" Unhun ne ik dam durshtagi se kaha..
Moiz ab ki baar bol na saka...

Now read:

Azam sahab us ko yunhi chup chor k study se nikal gaye. Darwaza band hone ki awaz se Moiz ko ik dam jaise hosh aya. woh taizi se un k peeche lapka... " Baba.. Baba..."
" MoiZ  iss waqt tamasha mat karo." Unhuen ne hanoz darushtagi se us se baat ki to Moiz ko ik dam ghussa aa gaya.
"Abhi mene koi baat shuru kahan ki hai baba? why are you reacting like this as if you dont want to listen to me?"
"Yes! That is correct. I dont want to listen to you. I am giving you a way out. Leave this topic."
" Way out??? what are you talking about? "
Shor ki awaz sun k Moiz ki ami bhi kamere se bahir a agaien.
"Kheriyat? iss waqt kia...." shohar aur bete ki taraf dekhte huwe abhi un ka jumla na mukamal tha k Azam sahab ne un ki baat kaat di.
"Samjhao apni oolad ko..  jo baat men keh ra hun us men behas na karey."
" Likin Baba abhi koi baat hoi kahan hai? I never got a chance to say anything at all.. i am not a kid Baba. ap iss tarhan ka behavior nahi rakh sakte."
"Moiz. beta araam se baat karo, tumare abu hain." unhun ne pass aa k moiz ko bazu se pakar k apni taraf mora.
"Ami ajeeb batien ker rahe hian Baba bhi... yun baat kerni hai to theek hai.. Men har haal men Mehr se hi shadi karoon ga.. Ap ziddi hain to men bhi ap ka hi beta hun!" ghusse men woh apna bazoo chura k bola aur qadam bahir ki taraf bharha diye.
Acha khasa mahol ik dam se iss hadh tak badal gaya tha k na moiz kuch sunney ko tayar tha na hi azam sahab  ka ghussa thanda hone men aa ra tha. 
" Nahi ho tum mere betey! Mera khoon hotey to itni behas na kerte, meri baat samajhtey.... Parai oolad parai hi rehti hai hamesha" 
Moiz baironi darwaze k pass ruk gaya.. har cheez jaise Azam sahab ki baat ki baat sun k sakit ho gai thi. Moiz ne suna k us ki ami ne "Ya Allah!"  kaha hai.. un ki band ankhoon se ansoo beh k un k chehre pe aa gaye they.
"Really?  you will go so low just to make sure i dont marry the girl of my choice?"
" aap gaali dien gey mujhe?? apni biwi ko?"
Azam sahab kuch na boley... shyd woh apne alfaz pe pachta rahe they.. 
Moiz ko yaqeen nahi aaya k yeh woh shakhs hai, 28 saal jiss ki har bat us ne farz samajh k manni hai.. 
woh chalta huwa wapis palat aaya aur un k qareeb khara ho gaya... un ki ankhoon men ankhien daal k bola :
 " Kash men waqai ap ka beta na hota. "
Azam Sahab sard mehri se chand lamhe us ko dekhte rahe..aur phir boley to un ka lehja un ki ankhon se ziada sard tha.. " tum nahi ho mere bete Moiz."

Moiz ko shock laga. Kahien na kahien iss ghusse k neeche yeh umeed dabbi thi k Baba us k mun pe ik thappar mar k kahien gey k bakwas mat karo. tum mere bete ho. aur khabardar jo aainda yeh baat sochi! 
Moiz ko laga ik dam us k paoon k neeche zameen, pani ban gai hai... aur asmaan mehaz khalla ... Moiz ko apna app kissi haqeer keere se bhi kamtar mehsus ho ra tha.. us ko samajh hi nahi aa rahi thi k us ko kia kerna chae.. Ik lamhe men jab koi ap se ap ki shanakht, ap ka waqar, ap ka naam cheen le to insaan ko kia kerna chae... 18 kharab ki abaadi wali iss dunia men ik dam woh Moiz Azam se Nobody ho gaya tha.

Sunday, 12 May 2013

Teri meri anaa. 15

Recap:
Moiz ne waqai bohat acha gaya tha.. sab us ka ganaa sun k taaliyan baja rahe they.. sab se nazar bacha k us ne Mehru ko ishara kia " for you"
jawaban mehru ne araam se palkien jhapka k jawab dia.." i know!"

Now read:
Mehr us din k baad Moiz ki call ka wait keti rahi likin us ka intezar, intezar hi raha... 3 din bad us ne suna k Moiz wapis challa gaya hai... 

Moiz ne Gharri pe e nazar daali, raat k 10 bajh rahe they.. woh aapne Abu ki study k bahir aa k khara ho gaya.. haath darwwaze k handle pe rakha aur wapis khainch lia..
" maloom  nahi iss waqt baat kerna theek bhi ho g ya nahi.."
us ne chand lamhe phir socha aur phir handle ko halke se ghuma dia.. aaista se darwaza khol us ne jhanka..Azam sahab study k ik kone men rakhe leather k sofey pe baithe bohat inhimak se kissi kitab k muta'aley men mashghool they.  Moiz k qadmon ki ahaat hoi to unhun ne ankhien utha k ussey dekh.
:" kia baat hai amoiz, kheriyat?"
'ji baba"
"aoo baitho"
"ap buzy to nahi hain?"
"nahi bus.. kuch warq gardani ker raha tha.. tum soye nahi?."
moiz ne un k khushgawar mood ko acha gumaan kia.. aur thora relax ho gaya.
"nhi baba... woh IK baat kerni thi ap se." phir bhi Moiz zara confuse ho hi gaya.. pehli dafa apni shadi ki baat kerne ja ra tha, itna to hona hi tha.
" ji beta bolien." unhun ne kitab oondhi ker k maaiz pe rakh di.
"Baba , i was thinking k ... agar .. Baba mien .."
"Moiz??" unhun ne us ko gehri nazroon se dekh k kaha.
" i want to get married, actually."
"WHAT??" yeh sun k Azam sahab zor se qehqaha laga k hans parey" that's great."
Moiz bhi hans dia...khamkha itna nervous ho ra tha.
"whose the lucky girl , my son?"
" ummm.. mehr."
Moiz ne us ka naam le k baba ki taraf dekha.. shyd us ko laga tha k baba dobara itni hi khushi ka izhar karien gey per wahan ik jamid khamoshi aa gai thi.
" who mehr?"
"baba our own mehr... my cousin.. i mean..." Moiz garbara gaya.. mehr ka kia tahruf tha, woh bhool hi gaya..
" moiz .. tum ne aaisa socha bhi kaise?" ik aur sard nigah.
Moiz chup ka chup reh gaya..
" Baba men.."
"bhool jao is sab baat ko.. aur jao.. so jao ja k.." yeh kehte hi woh khud bhi uth kharey huwe..
"Baba .. i dont understand.. is it a joke or something?" Moiz heeran sa kehne laga..
"Moiz mujhse behas mat karo!" Unhun ne ik dam durshtagi se kaha..
Moiz ab ki baar bol na saka...



Saturday, 4 May 2013

Teri meri ana 14

Recap:
kaanch k bowl chaknachur ho gaya aur sath jo awaz aii...likin mehr aur mia ne koi dhehan nahi tha.. 
Mia mehr ko hairat se dekh rahi thi aur Mehr.... Mehr ko koi idea nahi tha k ussey kia kerna chae ab!

Now read:
"Mehru soo gai ho kia?" Mia ne us ka ghoongat utha k kaha..
"uh haaan?" mehru ne us ko khali nazroon se dekha.. usey kuch lamhe laggey wapis haal men aney mein.. Woh peela jorra pehne baithi thi.. us ki mehendi ho rahi thi.. 
"Rasmien shuru ker rahe hain na... "
us ne kuch kaha nahi bus halke se sar hila dia.. ik dam se itni thakaan mehsos ho rahi thi k dukhi hona b boojh lag raha tha.
bus us ka dil cha ra tha k jaldi jaldi yeh waqt guzar jaye.. woh apne kamre men akeli ho.. iss bojh se azad .. aur phr yeh raat kabhi khatam na ho.. kabhi woh subha na aye jab us ne tayar hone tha, nikaahname pe dastakht kerna tha aur rukhsat ho k chale jana tha... bilal k sath...
tamam rasmon k darmiyan mehru behiss baithi rahi. waqt guzari k liye.. us ka bus chalta to challi jati wahan se kissi ka bhi khayal kiye baghair.. 

Zindagi men rishte jitna kuch dete hain us se ziada wasool ker lete hain.. baap ki izzat, maa k ansoo, behen ka mustaqbil, khandaan ka naam... itni zanjeerien pehna dete hain jitni bardasht nahi hoteen.. Phir har faisle men yehi factors hotey hain, hum  hamari khushi, hamari zindagi kahien bohat peeche reh jati hia... woh zindagi jiss ka faisla dosre kerte hain likin guzarni humien perti hain.. napasandeeda logoon. napasandeeda rishtoon aur na pasandeeda halaat k sath.. us waqt koi agey barh k madad nhi kerta.. kerna chahe tab b nhi ker sakta.. aur itna zarf bhi nhi hota k maafi maang lien.. tab kissi k pass koi hal nahi hota.. sirf dua hoti hai bina yaqeen k..

Bilakhir 2 bajey k qareeb us ne mia ko bula k keh dia k woh thak gai hai, araam kerna chati hai.. Bina apa us ko andar le gaien.. Hall men pohanch k us ne un ko kaha :" Bina apa men chali jaun g.. ap enjoy karien."
dopatta sar se hata k woh aaista aaista serhiyan charhne laggi.. Ghar mukamal khamoshi men dobba huwa tha.. ik do jaga k ilawa baqi lights bhi off theen.. uper ja k wo pichli taraf wali balcony men aa gai.. jahan koi us ko dekh nahi sakta tha.. wo lakri k jhoole pe lait gai.. asaan bohat saaf tha.. aur us saaf kaley asman k darmiyan adha sa chand jagmaga raha tha... Mehru ko laga wo chand us ki zaat ki tarhan adhora tha.. bohat se sitaroon k jhurmat men tanha.. aur mangey ki roshni se jagmata huwa... Agr Suraj apni roshni hata le to chaand kia hai bhalla.. ik tareeq, badnuma siyara.. phr deta koi kabhi channd ki misaaal? koi shair, koi likhari bhalla tab chaand ko istiarey k liye istamal kerta.. is ki khubsurati ka zikr kerta, apne mehboob se milata? Log bus zahir ko hi dekhte hain.. zahir ko hi dekhna chahte hain.. Na koi haqeeqat dekhta hai , na kissi k pass itna hosla hota hai k haqeeqat ka samna ker sakkey.. zindagi mien sab ko jhooti roshni wala chaand chae hota hai..


Khirki men zara halchal hoi to Moiz ki ankh khul gai.. Ghar to khali tha, sab log mehendi per they phir yeh kon hai Balcony mien.. wo aram se utha aur khirki k pass aa k zara sa parda sirka k dekha...
"Mehru."
Ussey hairat hoi yeh yahan kia kr rahi hai.. is ko to mehendi men hona chae.. 
Ankhien band ker k jhule pe wo yun laiti thi k chand ki halki halki us k chehre pe per rahi thi... 
"woh chand jaisi larki..." beikhtiyar moiz k zehen mien aya..
aur phir Moiz ne dekha k us ki band ankh se ansoo beh nikla ..
woh roye g, Moiz janta tha aur wo zehni torr pe tayar b tha Mehru k ansoo'un k liye likin khamoshi men bahaya huwa ik ansoo bhi ab moiz se bardasht nhi ho ra tha.. ussey ehsas huwa k agar Mehr us k samne men ik dafa b roo jati to wo janey kia deta per yeh na kerta.. Acha huwa jo Mehru us k samne kamzorr nahi pari...
Parda peeche ker k woh khirki k paas zameen pe baith gaya.. sheehshe k parr wo larki jiss k baghair Moiz ko kuch acha nahi lagta tha.. Ik waqt Moiz ka dil chaha k us ko pukarey.. kia tha.. kuch qadmoon ka fasla to tha... agar wo himaat ker leta to.. 
Ussey yaad anay laga jab sab se pehli dafa us ne sab k samne Mehru ko indirectly kuch kaha tha.. Ussey hairat hoi thi k kissi ko pata kiun nahi challa tha..

Taqreeban 6 ya 7 maheene pehle Bina aur Yousaf k bete k paidaish pe woh sab log ikathey huwe they/.. wo bhi Canada se aya huwa tha.. Papa se baat kerni thi us ne .. likin us se pehle yeh function aagaya tha.. Mehru ko guitar bohat pasand tha aur wo Canada se guitar seekh k aya tha.. Mehru k liye surprise tha.. us ne Mehru k liye bohat se gaane bhi seekhe they. pehli dafa ussey ehsas huwa tha k us ki awaz achi khassi hai..

"Moiz pata hai men kiss se shadi karoon ?" ik dafa chatting k dorran mehru ne kaha.
"haan pata hai." omlette k liye anda whip kerte huwe moiz ne kaha .
"hain tumien kaise pata chala?" mehru ki awaz men hairat thi.
"like .. iss men kon c rocket science hai.. tum mujhse shadi karo g, ofcrse" Moiz ne muskurahat dbaa k kaha.
"oh ho haan.. likin phir b.. batao na.."
"acha nahi pata.."
"jo banda guitar bajae aur jab poora chand ho to terrace pe baith k mere liye gana gaye.. aur haan coffee bhi bana k laye."
"sarey kaam wo karey ga to tum kia karo g." 
" bus kam ki paarii hai tumien.. men coffee peeun g, gane sunoon g aur khush hoon g aur phir i will fall in love bhi na.."
" aray wah.. itne kaam karo g tum .. thak jao g na" moiz hansa..
" ya ryt.. aur mujhe laga k abhi ap omellete chor k guitar class join kerne bhagien gey."mehru ne mun bana k kaha.
" hahahahha.. lo g .. ab itni b hadh nhi ha chanda"
 likin moiz ne waqai weekend pe ja k guitar ki class join ker li thi.. He had discovered that every dream of Mehru's was worth living. 

Bache k Aqeeqe k din dinner k bad, jab sab log baithey they to woh apna guitar le aya..
" i just thought k thora shugal ho jaye." sab ne ghaur se ussey dekha to wo thora garbara gaya.
"wowww guitar bajana ata hai tumien??" hassan ne sab se pehle uth k guitar check kia.. us ko b guitar ka craze tha..
aur phir dekhte dekhte poori mehfil set ho gai..
hassan ko bohat acha guitar bajana aata tha .. us ne bohat acha gaya.. aur phr bari bari hassan k sath sab ne apna talent dikhaya.. akhir men Moiz ki baari aii..
" men bus ik hi gana sunaoon ga.. mene ik hi k lyrics yaad kiye huwe hain"

Guitar pakarte huwe, chair pe baithte huwe aur sab ko face kerte huwe Moiz thora sa confuse ho ra tha likin jis lamhe wo wahan baitha aur us ne mehru ko dekha .. uss ki saari confusion dur ho gai.. 
us ne Mehru ki ankhoon men dekh li thi .. khushi , excitment aur 'fall in love' wali feeling,,

I don't want another pretty face
I don't want just anyone to hold
I don't want my love to go to waste
I want you and your beautiful soul
I know that you are something special
To you I'd be always faithful
I want to be what you always needed
Then I hope you'll see the heart in me
I don't want another pretty face
I don't want just anyone to hold
I don't want my love to go to waste
I want you and your beautiful soul
You're the one I wanna chase
You're the one I wanna hold
I won't let another minute go to waste
I want you and your beautiful soul
Your beautiful soul, yeah
You might need time to think it over
But I'm just fine moving forward
I'll ease your mind
If you give me the chance
I will never make you cry c`mon let's try
Am I crazy for wanting you?
Maybe do you think you could want me too?
I don't wanna waste your time
Do you see things the way I do?
I just wanna know that you feel it too
There is nothing left to hide
I don't want another pretty face
I don't want just anyone to hold
I don't want my love to go to waste
I want you and your beautiful soul
Moiz ne waqai bohat acha gaya tha.. sab us ka ganaa sun k taaliyan baja rahe they.. sab se nazar bacha k us ne Mehru ko ishara kia " for you"
jawaban mehru ne araam se palkien jhapka k jawab dia.." i know!"