Thursday, 23 May 2013

Teri meri Anaa 17

Recap:
 Ik lamhe men jab koi ap se ap ki shanakht, ap ka waqar, ap ka naam cheen le to insaan ko kia kerna chae... 18 kharab ki abaadi wali iss dunia men ik dam woh Moiz Azam se Nobody ho gaya tha.

Now read:
saari raat woh janey anjanae raastun pe phirta raha.. cigarette pe cigarette sulghatey huwe woh cigarette k sath sath jal raha tha... ankhoon men pani, khuda jane tapash thi, jalan thi ya sirf dukh tha... Chalte chalte woh thak gaya to ik bench pe baith gaya.. ghup andhere men dur jalti street light mahol ko pur-israr bana rahi thi. Us k ilawa koi nafs mojood nahi tha... itni khamooshi thi k us ko apne dil ki ik ik dharkan sunai de rahi thi.. us ko hairat ho rahi thi apne zabt aur hosle per.. adha ghantey k andar ander us ki poori zindagi ka matlab badal gaya aur woh ab tak apni aqal apna fehm sath liye bhatak raha tha... Us ka dil chaha wo zor zor se chilaye... sakoon se sooti dunia ko jagaye aur bataye k woh kitne karb men hai... us ka dil chaha k woh bachoon ki tarhan phoot phoot k rooye.... kissi se jhagra karey, aag laga dey, tabah ker dey sab kuch.. likin wo us bench per baitha raha... surkh ankhoon, , bikhrey baalun aur sulagte cigarette k sath.. mehr ba lab....

Us ko Mehr ka kahayal aney laga... wo kaise chorey ga ussey, kaisey bhooley ga... Abhi se pehle us ko mehr se mohabbat thi shyd likin ab us ko kho dene k ehsas ne achanak us k jazbey ki shidaat men izafa ker dia tha.. us ko mehr se ishq ho gaya tha,.. Jo guzar gaya us pe kissi ka ikhtiyar nhi likin Mehr ko woh nahi chor sakta tha,.. ussey mehr chaye thi....  har haal men.. us ko laga k woh waqai mar jaye ga mehr k baghair.. 

Ik dam perfect plan yun ulat palat ho gaya tha k Moiz ko samajh nahi aa rahi thi k iss uljhi hoi dorr ka sira ab kahan se pakrey..
Suraaj taluh huwa to wo uth k chalne laga.. is dafa us ko maloom tha k woh kahan ja raha hai... Us ka huliya kissi tabah shuda admi se kam nahi tha, likin iss waqt Moiz ko perwa nahi thi. . woh jo hamesha apne kaprun ka bohat khayal rakhta tha, aj masley huwe kaprun men, har cheez se beniaz challa ja raha tha..
__________________________________________________________

Murtaza Sahab office men dakhil huwe to 9:30 ho rahe they. Ajj Mehru ki Van nahi aai thi aur us ko jaldi university jana tha, us ko drop kertey huwe wo late ho gaye they. gaari se utarte huwe, Mehru ne jaldi se ko galley laga k kaha : thank you Baba, you are the best." to us k andaaz pe woh hans diye." jaldi jaen Mehr Murtaza, you are getting late."
Ass pass se guzarte huwe har bande k salam ka khushdilli se jawab dete huwe woh apne room ki taraf ja rahe they.
 Un ko dekh  un ki secretary  khari hoi :" Assalam o alikum sir, someone is waiting for you sir."
Unhun ne apni wrist watch dekhi.: " so early? did he say what his name is?"
"No sir," secretary ne kaha." He says its personal and urgent."
Murtaza shab ko thori hairat hoi.." ok , i will see him"

Secretary k pass se office anney tak un k wehm o guman men bhi nahi tha k woh Moiz se milne waley hain.. wo bhi is huliye mien... iss buri halaat men..
woh un k office k bahir rakhey sofey pe baitha tha... Surkh ankhien ratjagey aur us ki zehni halaat ka pata dey rahhi theen.
:Moiz?" unhun ne us ko pukara jo samney painting pe nazrien jamaye apni soch men gum tha..un ki awaz sun k chonk gaya.
"kheriyat to hai? andar aoo.."
woh chup chaap uth k un k peeche office men aa gaya. darwaza band ker k unhun ne intercom utha k secretary ko hidayat di.. woh filhal kissi se nahi mil saktey they. 


_________________________________________________

Ik dam hi us office men us sakhs k samne kharey ho k Moiz ko nafrat mehsus hoi.. behad, behisab nafrat.. un k chehre se, un ki zindagi se, un k hone se... us ka dil chaha k us ofice men parri ik ik cheez ko apney hath se tabah kare, torr dey, phaar de, jala dey...  us ko rona ayaa... apni bebasii pe.. aur ghussa aya apni taleem pe .. kaash wo koi ganwar hota jo ye sab ker guzarta ..na sochta kuch bhi, kissi ka bhi.. anjaam ki perwa na kerta.. bus badla leta...
___________________________________________________

Moiz k chehrey ki rangaat jiss taizi se badli thi, Murtaza sahab jaan gaye they k Jo bhi ha , woh bohat bheyanak hai... un ko samajh nahi aai k un ko Moiz se poochna chaye ya intezar kerna chae k woh khud kuch boley...

boaht dair intezzar k baad jab unhien laga k Moiz kuch nahi kahe ga to unhun ne narmi se us ka naam pukara: " Moiz!"
Aur aain ussi waqt Moiz un ki table pe dono hath rakh k thora agey ho k,laal angara ankhoon aur  zehreele lehjey men bola: " why did you kill my father?"

Murtaza sahab ko laga asmaan un k sar pe aa gira hai !!


No comments:

Post a Comment