Recap:
Moiz ne waqai bohat acha gaya tha.. sab us ka ganaa sun k taaliyan baja rahe they.. sab se nazar bacha k us ne Mehru ko ishara kia " for you"
jawaban mehru ne araam se palkien jhapka k jawab dia.." i know!"
Now read:
Mehr us din k baad Moiz ki call ka wait keti rahi likin us ka intezar, intezar hi raha... 3 din bad us ne suna k Moiz wapis challa gaya hai...
Moiz ne Gharri pe e nazar daali, raat k 10 bajh rahe they.. woh aapne Abu ki study k bahir aa k khara ho gaya.. haath darwwaze k handle pe rakha aur wapis khainch lia..
" maloom nahi iss waqt baat kerna theek bhi ho g ya nahi.."
us ne chand lamhe phir socha aur phir handle ko halke se ghuma dia.. aaista se darwaza khol us ne jhanka..Azam sahab study k ik kone men rakhe leather k sofey pe baithe bohat inhimak se kissi kitab k muta'aley men mashghool they. Moiz k qadmon ki ahaat hoi to unhun ne ankhien utha k ussey dekh.
:" kia baat hai amoiz, kheriyat?"
'ji baba"
"aoo baitho"
"ap buzy to nahi hain?"
"nahi bus.. kuch warq gardani ker raha tha.. tum soye nahi?."
moiz ne un k khushgawar mood ko acha gumaan kia.. aur thora relax ho gaya.
"nhi baba... woh IK baat kerni thi ap se." phir bhi Moiz zara confuse ho hi gaya.. pehli dafa apni shadi ki baat kerne ja ra tha, itna to hona hi tha.
" ji beta bolien." unhun ne kitab oondhi ker k maaiz pe rakh di.
"Baba , i was thinking k ... agar .. Baba mien .."
"Moiz??" unhun ne us ko gehri nazroon se dekh k kaha.
" i want to get married, actually."
"WHAT??" yeh sun k Azam sahab zor se qehqaha laga k hans parey" that's great."
Moiz bhi hans dia...khamkha itna nervous ho ra tha.
"whose the lucky girl , my son?"
" ummm.. mehr."
Moiz ne us ka naam le k baba ki taraf dekha.. shyd us ko laga tha k baba dobara itni hi khushi ka izhar karien gey per wahan ik jamid khamoshi aa gai thi.
" who mehr?"
"baba our own mehr... my cousin.. i mean..." Moiz garbara gaya.. mehr ka kia tahruf tha, woh bhool hi gaya..
" moiz .. tum ne aaisa socha bhi kaise?" ik aur sard nigah.
Moiz chup ka chup reh gaya..
" Baba men.."
"bhool jao is sab baat ko.. aur jao.. so jao ja k.." yeh kehte hi woh khud bhi uth kharey huwe..
"Baba .. i dont understand.. is it a joke or something?" Moiz heeran sa kehne laga..
"Moiz mujhse behas mat karo!" Unhun ne ik dam durshtagi se kaha..
Moiz ab ki baar bol na saka...

No comments:
Post a Comment