Sunday, 2 June 2013

Teri meri ana 22

Bilal ka proposal aya tha.. Infact Moiz k Abu hi ne refer kia tha.. Mehrukoun pe pyaar aya .. Woh us ki fikar ker rahe they jab k un k bete ko koi dekhta.. be-hiss aur jhoota ...
Baba logun ne apni taraf se tasalli kerwa k mehru se raye li... us k pass inkar kerne ka koi jawaz na tha.. woh khamossh rahi..
"Mehru agar koi problem ha to ap bata dien." Baba ne ik sham us k sath lawn men walk kerte huwe pocha .
" Nai baba jani.. koi problem nahi hai."
" Phir hum Bilal k proposal ko kia jawab dien"
mehru ne ik lamhe ko socha aur phr araam se boli  "Jaisa ap ko theek lagey baba."
"Woh ache ghar ka larka hai, phir tumare Taya Abu ne kaha hai.. mene har tarhan se tasalli ki hai..Mehru, Betiyaan jitni bhi achi lagien un ko biya k dena hi hota hai.."
Baba un k friend they..hamesha har baat woh Baba se share kerna prefer kerti theen kiun k mama to phir bhi daant deti theen likin Baba .. woh samjahte they.. batate they..
aur phir anan fanan Mehru ki shadi teh ho gai... Us ne bhi samjhota ker lia... Dil ko bhi samjha dia k us sab ko ik khuwab samajh k bhool jaye, jis men kabhi wo kamyab hoti thi aur kabhi nahi..
_________________________________________________________________________________

Moiz ko Mehru ki shadi ki itlah office men milli..Hassan waghera se baat kerte huwe.. Bohat dair woh yunhi khali zehn k sath baitha safaid kaghaz pe lakeerien khainchta raha.. Mehru us ki qismat men hi nahi thi.. wo lakh chahta tab bhi nahi... in guzrey dinoon men usne bus yehi koshish ki k apne ap ko yaqeen dilaye k Mehru men koi khas bat nahi hai... she was just another girl.. aur woh sab ik timely affair tha.. kuch khas nahi...
aur us ne khud ko zindagi men itna uljha lia tha k us k pass baaz ooqat khane peene ka bhi waqt nahi hota tha..
Office k sath sath us ne empolyees k liye offer kiya jane wala koi course bhi utha lia tha..
likin abi abhi mehru ki shadi ka sun k ik dam us ko lga k itne maheenun se wo jo mehnat ker raha tha , wo sab raigaan gai hai.. Ehsas e ziyaan bohat shadeed tha.
Agle adhe ghantey men us ne ik email likhi apne boss ko jis men usne urgent leave mangi aur ik phone call k zarye agle hafte Pakistan k liye apni ticket kerwai.
Us ko Mehru ko dekhna tha!

______________________________________________________________________________

No comments:

Post a Comment