Monday 3 June 2013

Teri meri anaa 23

Waqt nahi rukta .. na acha aur na bura...
Adhe chand ko dekhte huwe apni mehendi ki raat mehru ne bohat dua ki k yeh raat yaheen tham jaye.. Ik dam yeh shadi nibhani us ko namumkin lagne laggi. Moiz k baad woh Bilal ko kaise apne dil men jaga de g.. Kaise jiyey g un lamhun ko jo us ne Moiz k sang bitane k khuwab dekhe they.. Yeh munafqat bharri zindagi kaise guzarey g woh...
likin lamha lamha ker k woh raat beet gai... Poori raat ik pal ko bhi Mehru ki ankh na laggi... Fajr k waqt woh Mia k bulane pe uthi to us ko bukhar mehsuus ho raha tha.. Naha k Namaz perhne laggi to beikhtiyar us ki ankhoon se ansoo behne lagey.. Ussey laga k woh ALLAH k samne baithi hai.. aur us k ansoo Allah dekh raha hai, us ki awaz sun raha hai.. woh mazeed shidat se roney laggi likin bohat chahne k bawajood bhi wo Allah se koi shikwa na ker sakki... bus bohat rotey huwe us ne sakoon manga, khair mangi.. apni aur us ki bhi jis ne us se apne liye dua kerne ka har haq cheen lia tha..

11 bajey woh parlor k liye nikli... Us ka dil nahi cha raha tha k koi aur us k sath jaye, us ne Mia ko bhi mana ker dia.. Mia us k sath parlor tak aii us ka dress aur jewelry le k aur phir driver k sath wapis aa gai.
Sardiyun men din chotey they aur Islamabad men yun b thand thori ziada ho rahi thi.. Maghrib se pehle pehle rukhsati honi thi..
Ronney k bais us ki ankhien zara sooj c gai theen aur bukhar ki waja se thakaan bhi bohat mehsus ho rahi thi...
Make up karate huwe, jewellary aur lehenga pehentey huwe woh tang hoti rahi.. likin boli kuch nahi..
Red aur Green color k combination k lehengey men make-up aur jewelry pehne jab woh full length sheehse k samne kharri to heeran reh gai.. Ik lamhe ko to woh b khud ko pehchan na pai thi.. woh pyari thi likin iss waqt woh bohat khoobsurat lag rahi thi.. thori sooji sooji ankhoon pe purane tarz ka lamba aur thick eye liner had se ziada suit ker raha tha..
"Mam hum ne aj tak jitni dhulhanien tayar ki hai, i have to say you are one of the best! Masha Allah u are looking very pretty"  Us k sath kharri worker ne kaha to Mehr muskura di.. Pata nahi kiun khud ko dekh k ussey bohat acha lag raha tha.. woh hamesha sochti thi k woh dhulhan ban k kaisi laggi g? What is the best she can look ? aur abhi iss waqt us ko jawab mil gaya tha...Yeh colors kitne uth rahe they us pey.. aur jewelry kitni munfarid si thi.. us ne apne jhumkey ko chu k dekha.. phr zara tehra ho k khud ko dekha , 3, 4 mukhtalif smiles dien , aur ik baar poora ghoom k apna lehenga check kia...
"Mam ur husband is very lucky!" worker ka jumla us k kanoon se takraya to woh thehr gai.. "husband... " bus yaheen aa k sari kahani men twist tha... Apna lehenga sambhal k woh sofey pe aa k baith gai.. Stillatoes pehene se pehle us ne time dekha to taqreeban 3 bajh rahe they.. Us ne sandals pehen  k apna phone nikala aur Mia ko phone milaya .. woh tayaar thi.

________________________________________________________________________________

"Mama....." Mia hall k liye nikalne laggi thi k Mehru ki call aa gai.. Mama ko dhondte huwe wo kitchen wali side pe aai to Moiz ko kharey dekha.. Usey ghussa ata tha Moiz ko dekh k.. us ki dheetai per.. He had a nerve k woh Canada se Mehru ki shadi attend kerne aa gaya tha...
us ko badtameezi se ignore ker k Mia ne kitchen se aati apni mama ko kaha : " Mehr ka phone aaya hai, wo tayar hai. Driver ko bhej dien , ya men challi jaun sath?"
Mia ki baat sun k Moiz ka sara dheyaan udher hi chala gaya halankey k us se pehle woh b Mia ko avoid hi ker raha tha.
" Nai, tum hall jao . wahan mehmaan aa rahe hain. bohat bura lagta hai. Men us k pas bhejti hun kissi ko."
" Ji,," un ki baat sun k Mia murr gai...
"umm Aunty , if its ok,men le aun Mehru ko? " Moiz ne ik lamhe socha aur keh dia..
"aPP... UMMM.. khamkha ap ko zehmat ho g bete."
"Nai zehmat kiun... m free.. men chala jata hun. mujhe address bata dien,"
Un ko maxeed sochne ka moqa diye baghair wo uth khara huwa...

________________________________________________________________________________

' Mehr madam ki gharri aa gai hai." Intercom pe guard ne kaha to mehr aaista se lehenga sambhal k kharri ho gai. Dress bohat bharri tha..
Apni cheexien bhijwa k woh khud bahir aai.. workers us ka lehenga waghera sambhalne men us ki help ker rahi thien..
Mausam bohat pleasant tha.. 3 bajey hi sham sham lag rahi thi.. suraj ki kirnoon men koi tapish na thi... ziada tar asmaan badaloon se dhaka huwa tha aur thandi hawa chal rahi thi.. Bahir atey hi Mehru ko sardia ka ehsas huwa... Us ne garri ka darwaza khola aur araam se baith gai... Dhulhan banna mushkil kam tha..
"Assalam o alikum" Garri ka darwazaband huwa to us ko awaz sunai thi..
woh jo apna pouch aur dupatta set ker rahi thi k ik jhaktey se sar utha k driving seat pe baithey bande ko dekhne laggi.. Us ne bilkul dhehan nahi dia tha k us ko lene kon aya hai... likin jo b tha Moiz dunia ka akhri banda tha jis ko woh iss waqt , yahan expect ker rahi thi!
Shock se Mehru k mun se koi awaz bhi na nikli! 

No comments:

Post a Comment