Saturday, 1 June 2013

Teri Meri ana 21

Yeh ehsas k jiss bande ki iss dunia men us ne sab se ziada perwa ki thi. Jiss k liye jan bojh k us ne apne dil men jaga banai thi .. uss k liye uski itni bhi ehmiyat na thi k jatye huwe ik phone ker deta.. phone na sahi, ik msg ker deta.. ussey bata to deta, kuch bhi keh deta... yehi k " Mehru tum mujhe nahi pasand.. men tum se baat nahi kerna chata. Its over." Per khamoosh to na rehta.. us ne Mehru k sath bura kia tha,bohat bura.. wo ussey chor k challa gaya tha.. aur woh bhi khamooshi se... har raat bohat rootey huwe Mehru yehi sochti k agley din jab Moiz us ko phone karey ga, tab woh bhi baat nahi karey g... likin Moiz ne us ko kabhi phone nahi kia , dobara... Moiz ne murr k nahi dekha k Mehru zinda hai ya mar gai hai...

Har waqt hansne wali Mehru, Yun chup ho gai k kabhi koi baat kerta bhi to mukhtasir jawab deti..khud se to woh bohat kam hi koi baat kerti... Ussey bht guilty feel hota tha.. Halankey k koi janta nahi tha likin phir bhi ussey lagta tha k sab ko maloom hai.. sab us ko qasur war thehraien gey k har larki ki tarhan  us ne chance dia kissi anjaan bande ko... woi typical harqat kii.. woh mar k bhi kabhi kissi ko nahi bata sakti thi k yeh sab itna ordinary nahi tha...

"mehru utho!" apne kamre men din k waqt wo chaddar tanne laiti thi k Mia andar aii aur ghussey se boli. Chaddar mun se hata us ne Mia ko dekha.
"kia baat hai mia?"
" tumara sar baat hai.. what the hell is wrong with you??"
"huwa kia hai??"
"Mehru yeh huwa hai k tumien masla kia hai? u know abhi tak kissi ko pata nahi hai k koi baat hai.. sab samajh rahe hain k typhoid ki waja se tum itni kamzor ho gai ho kissi se baat nahi ,kerti likin saari zindagi yeh bahana nahi challey ga."
"Mia , yeh baat nahi hai.. mera dil hi...."
" nahi kia huwa hai tumare dil ko?? toota huwa hai?? please mehr get real.. dat was one stupid incident..Mayb i dont understand but i know k agar kissi ko tumare honey na hone se farq nahi per raha to its not fair to yourself k tum khud ki halaat kharab karo for someone who doesnt care back"
Mehru chup chaap baithi sunti rahi uski baatien... Mia theek keh rahi thi.. iss se pehle k sab sawal karien jin ka us k pass jawab bhi nahi ho ga, us ko normal hone ki try kerni chae..
Insan ko apne dukh kabhi nashr nhi kerne chae.. yeh kamzorri ki nishani hai.. Jo baat dil men ussey dil men hi rehna chae, apne dukh khamooshi se sehne chae.. khud ko dunia k liye tamasha nahi banana chae!

" m alright Mia.. I promise, everythings gonnna be fine. likin iss waqt mujhe neend aa rahi ha. soney do please."
Mia ne us ko mashkook nighahun se dekha to wo hans di.. "pakkaa na!"
__________________________________________________________________________

Phir Mehru ne bohat mehnat ker k apna poorana roop wapis laya.. Mama Baba aur Mia k liye.. aur apne bohat pyare cousins aur ghar waloon k liye jo waqai us ne bohat pyar kerte they.. jin ki neeyat men koi khoot nahi tha aur jin ko Mehru se mohabbat kerne k liye kissi approval ki zarorat nahi thi.

Icecream ki zid kerte huwe, fruit parties, mid night feasts, games arrange kerte huwe, baatien kerte , hanste huwe sab ko yaqeen ho gaya tha k Mehru waqai beemari ki waja se itni murjhai hoi thi...

sab ko mehru ki acting per yaqeen aa gaya tha siwae khud Mehru k ... Roz subha uthte huwe us k dil men ye umeed hoti thi k shyd aaj moiz us ko phone ker dey, har call pe us ko gumaan hota k shyd Moiz ki awaz sunney ko miley aur har raat soney se pehle us k dil men mayoosi ki ramaq hoti thi...
har guzarte din k sath us ka intezar to khatam na huwa tha likin us ne rona kam ker dia tha... Woh ab Moiz k liye rooti nahi thi.. yeh us k bus men tha, likin Moiz ko yaad kerna, us ka intezar kerna.. yeh Mehru k bus ki baat na thi!

No comments:

Post a Comment