Monday, 3 June 2013

Teri meri ana last episode!

Mehru ne koi jawab nhi dia.. is liye nhi key woh jawab dena nhi chahti thi balkey us k pass jwab tha hi nhi.. us k salam ka bhi nhi... woh sar jhukaye khamoosh baithi rahi... bht mutazad ehsasat they us waqt...
Us ko koi dilchaspi nhi thi k kia waqt ho raha hai, ghari ki raftar aaista ha ya taiz, wo kiss raste se jarey hain... us ne tab bhi sar na uthaya jab ghaarri ruk gai. us ne sunna k front door khol k Moiz neeche utra hai.. Taqreeban 10 sec k bad us ki side ka darwaza khula to us ne ik gehri sans li aur neeche utarne laggi gharri se..bahir dekha to ik dam khatak k ruk c gai.. woh expect ker rahi thi k wo Wedding hall aye hoon gy likin yeh to track 5 tha... Monal jane k liye us ka fav track.. jahan ussey Moiz ne barasti barish men ik harra patta thama k ussey sari zindagi khush rakhne ka wada kia tha.. jahan pehli bar us ne apni zindagi ki baazi lagane ka irada kia tha, jahan us ne ehtiyat ka hisaar tor k ik ajnabi ki baat manni thi... Moiz kiun us ko wahan laya tha? Woh bhi us ki baraat k din.. jab wo kissi aur k liye banni sanwri hoi thi... Mehr ko dukh se barh k kuch mehsus ho raha tha... Moiz itnaghatya ho ga k yun blackmailing kare ga, mehru yaqeen nhi kern chahti thi likin sab waqiyaat Moiz k khilaaf they...

'Mehru...." bohat narmi se, bohat pyar se Moiz ne mehru ko pukara.. ik lamhe ko mehru ko laga jaisey waqt kabhi itna bereham huwa hi nhi tha.. sab waise hi tha jaisa us ne khuwab dekha tha.
Mehr ne Moiz ko dekha to us ne hath barha dia..us ki ankhoon men dekhtey huwe Mehr ne uska hath thamaa aur gharri se utar ai.. Ussi hut k andar ab ik bench ka izafa ho gaya tha.. Lakri  k bench pe us ne Mehru ko bithaya.. aur khud ghutnoon k ball us k samne baith gaya..
" I know you hate me... u should" Us k samne baithte huwe Moiz ne baat shuru ki...
Mehr ne dekha k us k shave barhi hoi hai, ankhun men halki c surkhi thi aur lehjey men thakaan thi.. Mehr ko ronna anay laga.. yeh kaisa mazak tha, us k sath? Dil tha k phir iss shaks ki baat pe yaqeen kerne ko tayar ho gaya tha.. us ko yaqeen tha Moiz jo bhi kahey ga jhoot nahi ho ga..
" I hate myself too Mehru.. a lot .. for not doing anything for you, for us. Mujhe iss lafz 'majboori' se bohat nafrat hai, likin men phir bhi bohat majboor ho gaya tha.. and don't ask me anything.. the less you know the better.. bus tum yeh socho k Moiz bohat bura tha, itna bura k Allah ne us ko saza di aur Mehr se durr ker dia"
Dono hath men chehra chupa k woh ronney laggi to Moiz ne uski kalaii thamii.. "nai Mehru, roo nai.. tum roo g to mujhe bohat taklef ho g.. "

Hath chehre se hata k us ne ansu bharri ankhoon se ussey ko dekha .."Moiz kiun?"
" Sawal nahi karo Mehru...Woh challa gaya hai sab..."
kuch dair khamoosh rehne k baad us ne kaha.."Acha ansoo saaf karo, dekho make up kharab ho raha hai.. Aj to tum waise sacchi ki princess lag rahi ho.. " us ki baat sun k Mehru halka sa hans di.. Moiz k sath kabhi awkwardness nahi ho sakti thi... Us k sath sab theek tha.. hamesha se..

"Acha suno Mehru... ab rona nahi.. Bilal is a good person.. mene khud pata kerwaya hai us ka.. tum khush raho g.. Dont hold yourself back ever.. Love him..
Mujhe lagta hai Mehru k tum jitni achi pehle thi ,ab us se ziada achi ho gai ho.. Agr tum ne mujhse kuch bhi acha seekha hai to us ko implement kerna apni zindagi men. "
Aur mehru ne Moiz se bohat kuch seekha tha.. Mohabbat kerna, Mohabbat nibhana , shukar kerna, Dosrun k liye sacrifice kerna.. woh kaise bhool sakti thi...
"Men next week Umrah pe ja raha hun... tumare liye dua kerne .. tum ne kabhi udas nahi hona..
Aur sunao Mehru, zindagi men kabhi koi pareshani mushkil ho..tumien kissi cheez ki zaroorat ho mujhe ik call kerna.. Kabhi koi dukh akele mat sehna Mehru... Promise me!!"
Moiz k pass kehne ko bohat kuch tha.. wo sari umer Mehru ko samne bitha k us se baatien ker sakta tha...

"Ajao ... dair ho rahi hai..."
ik dam wo uth khara huwa..
_______________________________________________________________________________

Wedding hall k samne us ne garri rokki to us ki sab cousins dhulhan ko receive kerne kharri thi.. Mehru ne utarne se qabal suna k Moiz ne us ko bohat araam se "Fi amaan Allah" kaha hai..
Aj Moiz ka har lafz sacha tha likin sab se ziada Mehru ko us baat pe yaqeen aya jo Moiz ne nahi kahi thi.. Moiz ko mehru se mohabbat thi.. waisi hi jaise Mehru ne mehsus ki thi...

_______________________________________________________________________________

Nikkah name pe dastakhat kerte huwe Mehru ko kuch feel nahi huwa.. Likin ruksati k waqt wo Baba k galley lag k bohat roi... Yeh us ki apni zinadagi ka iktitam tha.. is k baad wala safar wo tha jis ka faisla Bilal ko kerna tha ...

________________________________________________________________________________

1.5 years later:

"Mohid roo raha hai Bilal.. please ussey uthaen men bus aa rahi hun" Mehru ne apne bete k rone ki awazz suni to kitchen men se awaz lagai.. Sunday tha, iss liye Bilal ghar pe hi nazar aa raha tha..
"Yaar biwi.. tum kitne kaam kerwati ho mujhse"
"Tauba Bilal... kissi k samne na keh dijiye ga.. Log mazak nahi samajhte" Mehr hansi..
"Hain? likin mene mazak kab kia?" Bilal ne masnoi hairat se jawab dia..

Mehr khush thi.. Bilal waqai bohat acha tha. us ka bohat khayal rakhta tha..Us ko waqt laga tha adjust honey men likin bilakhir zindagi ik dagar pe aa gai thi aur khas torrr se Mohid k baad to ussey lagta tha jaise ab tak ki zindagi khalli hi us ki... Olad itni hi mehboob cheex thi..

Mia ka phone aya tha .. agle hafte woh log Haveli ja rahe they..Moiz aa raha tha.. Us ne Canada men apni pasand se shadi ki thi.. Mia ko aj bhi us se chir hoti thi, bohat bura lagta tha ussey Moiz. Mehru ne bhi kabhi us ki ghalat fehmi durr kerne ki koshish nahi ki.. Jo kuch tha wo kabhi kissi ko samajh anney wala nahi tha...
Mehru ko ab Moiz se mohabbat thi ya nahi, ussey andaza nahi hota tha..
Kuch yaadien ghanney shajar ki tarhan hoti hain.. Jab garmi ki shidat bohat barh jati hai jo hum us shajr  ko talash kerte hain jiss ki chaoon men hum thora sasta lien..  Moiz us k liye aaisi hi ik yaad tha...

Mohabbat paa lene ka naam nahi hai , na hi mohbaat mehdood hoti hai... Kabhi yeh ho jati hai likin agar kerni bhi perjaye to bhi koi muzaiqa nahi ... Koi shahks ap k khayal men rahe to yeh be-imani nahi hoti.. Be-imani to tab ho agar us khayal rah se bhatka de.. jo Na hotey huwe bhi ungli pakar pe seedhe raste pe chalaye , najane us ko kia kehte hain....!

7 comments:

  1. would love to hear the comments

    ReplyDelete
  2. oka, to make you happy since there are no comments yet, am commenting here. The story was just nice. The mystery had little part, though i think you could have gone a little more in that, putting and writing more about the KHANDAAN, and putting an end to the love story along with an end to the mystery part. However story is after all a writer's own creation and he/she can put an end to it the way he/she likes. And so didi you. Plus the name, doesn't go along with the flow and end of the story.

    ReplyDelete
  3. u r right about the name.. may be its not that relevant... per ik k peeche ik bat hai.. aur log tang ho rahe they perh perh so i had to give it a quick ending.

    ReplyDelete
  4. nice story naina khalid .... i love to read this and nice ending .....

    ReplyDelete
  5. Kia baat hai ??log ?? i thought that i might be the only one reading and hoping to atleast finish it off:P

    ReplyDelete
  6. And can't log into my account but u know who is commenting.

    ReplyDelete